دل پکارا پھنس کے کوئے یار میں
روک رکھا ہے مجھے گل زار میں
فرق کیا مقتل میں اور گل زار میں
ڈھال میں ہیں پھول پھل تلوار میں
لطف دنیا میں نہیں تکرار میں
لیکن ان کے بوسۂ رخسار میں
تھا جو شب کو سایۂ رخسار میں
تازگی کتنی ہے باسی ہار میں
فرط مایوسی نے مردہ حسرتیں
دفن کر دی ہیں دل بیمار میں
شاد ہو جاتی ہے دنیا اے روپے
کیا کرامت ہے تری جھنکار میں
آتش الفت کی دھڑکن بڑھ گئی
گر پڑا دل شعلۂ رخسار میں
آہ کے قبضہ میں ہے تاثیر یا
تیغ ہے دست علمبردار میں
نشتر مژگاں کی تیزی کے سبب
ایک کانٹا ہے دل پر خار میں
آب پیکاں پاس ہے لیکن نصیب
پھر بھی خشکی ہے لب سوفار میں
خیر ہو پرویںؔ دل مضطر مرا
لے چلا پھر کوچۂ دل دار میں
Dil pukārā phañs ke kū-e-yār mein
Rok rakhā hai mujhe gulzār mein
Farq kyā maqtal mein aur gulzār mein
Ḍhāl mein haiñ phūl phal talvār mein
Lutf duniyā mein nahīñ takrār mein
Lekin un ke bosa-e-ruḳhsār mein
Thā jo shab ko sāyā-e-ruḳhsār mein
Tāzgī kitnī hai bāsī hār mein
Fart-e-māyūsī ne murda hasrateñ
Dafn kar dī haiñ dil-e-bīmār mein
Shād ho jātī hai duniyā ai rūpaye
Kyā karāmat hai tirī jhānkār mein
Ātish-e-ulfat kī dhaṛkan baṛh ga.ī
Gir paṛā dil sho.ala-e-ruḳhsār mein
Āh ke qabza mein hai tā.sīr yā
Tegh hai dast-e-alam-bardār mein
Nishtar-e-mizh.gāñ kī tezī ke sabab
Ek kāñṭā hai dil par ḳhār mein
Āb-e-paikāñ paas hai lekin nasīb
Phir bhī ḳhushkī hai lab-e-sūfār mein
Khair ho Parvīn dil-e-muztar mirā
Le chalā phir kūcha-e-dildār mein
پروین اُمِّ مشتاق اردو کی معروف شاعرہ تھیں جن کا تخلص پروین تھا، جبکہ کنیت اُمِّ مشتاق اور لقب بڑی بیگم تھا۔ وہ 11 دسمبر 1866ء کو دہلی میں ایک معزز...
مکمل تعارف پڑھیں