جلوے مری نگاہ میں کون و مکاں کے ہیںمجھ سے کہاں چھپیں گے وہ ایسے کہاں کے ہیں
کھلتے نہیں ہیں راز جو سوز نہاں کے ہیںکیا پھوٹنے کے واسطے چھالے زباں کے ہیں
کرتے ہیں قتل وہ طلب مغفرت کے بعدجو تھے دعا کے ہاتھ وہی امتحاں کے ہیں
جس روز کچھ شریک ہوئی میری مشت خاکاس روز سے زمیں پہ ستم آسماں کے ہیں
بازو دکھائے تم نے لگا کر ہزار ہاتھپورے پڑے تو وہ بھی بہت امتحاں کے ہیں
ناصح کے سامنے کبھی سچ بولتا نہیںمیری زباں میں رنگ تمہاری زباں کے ہیں
کیسا جواب حضرت دل دیکھیے ذراپیغام بر کے ہاتھ میں ٹکڑے زباں کے ہیں
کیا اضطراب شوق نے مجھ کو خجل کیاوہ پوچھتے ہیں کہئے ارادے کہاں کے ہیں
عاشق ترے عدم کو گئے کس قدر تباہپوچھا ہر ایک نے یہ مسافر کہاں کے ہیں
ہر چند داغؔ ایک ہی عیار ہے مگردشمن بھی تو چھٹے ہوئے سارے جہاں کے ہیں
— داغ دہلوی
Jalwe meri nigah mein kaun-o-makan ke hainMujh se kahan chhupeinge woh aise kahan ke hain
Khulte nahin hain raaz jo soz-e-nihan ke hainKya phootne ke waste chhaale zabaan ke hain
Karte hain qatl woh talab-e-maghfirat ke baadJo the dua ke haath wohi imtihan ke hain
Jis roz kuch shareek hui meri musht-e-khakIs roz se zameen pe sitam aasman ke hain
Bazoo dikhaye tum ne laga kar hazar haathPurey pade to woh bhi bahut imtihan ke hain
Naseh ke samne kabhi sach bolta nahinMeri zaban mein rang tumhari zaban ke hain
Kaisa jawab Hazrat-e-Dil dekhiye zaraPaigham-bar ke haath mein tukde zaban ke hain
Kya iztirab-e-shauq ne mujh ko khajil kiyaWoh puchhte hain kahiye iraade kahan ke hain
Ashiq tere adam ko gaye kis qadar tabahPuchha har ek ne yeh musafir kahan ke hain
Har chand Dagh ek hi ayyar hai magarDushman bhi to chhute hue saare jahan ke hain