کعبے کی ہے ہوس کبھی کوئے بتاں کی ہےمجھ کو خبر نہیں مری مٹی کہاں کی ہے
سن کے مرا فسانہ انہیں لطف آ گیاسنتا ہوں اب کہ روز طلب قصہ خواں کی ہے
پیغام بر کی بات پر آپس میں رنج کیامیری زبان کی ہے نہ تمہاری زباں کی ہے
کچھ تازگی ہو لذت آزار کے لیےہر دم مجھے تلاش نئے آسماں کی ہے
جاں بر بھی ہو گئے ہیں بہت مجھ سے نیم جاںکیا غم ہے اے طبیب جو پوری وہاں کی ہے
حسرت برس رہی ہے ہمارے مزار پرکہتے ہیں سب یہ قبر کسی نوجواں کی ہے
وقت خرام ناز دکھا دو جدا جدایہ چال حشر کی یہ روش آسماں کی ہے
فرصت کہاں کہ ہم سے کسی وقت تو ملےدن غیر کا ہے رات ترے پاسباں کی ہے
قاصد کی گفتگو سے تسلی ہو کس طرحچھپتی نہیں وہ بات جو تیری زباں کی ہے
جور رقیب و ظلم فلک کا نہیں خیالتشویش ایک خاطر نامہرباں کی ہے
سن کر مرا فسانۂ غم اس نے یہ کہاہو جائے جھوٹ سچ یہی خوبی بیاں کی ہے
دامن سنبھال باندھ کمر آستیں چڑھاخنجر نکال دل میں اگر امتحاں کی ہے
ہر ہر نفس میں دل سے نکلنے لگا غبارکیا جانے گرد راہ یہ کس کارواں کی ہے
کیونکہ نہ آتے خلد سے آدم زمین پرموزوں وہیں وہ خوب ہے جو سنتے جہاں کی ہے
تقدیر سے یہ پوچھ رہا ہوں کہ عشق میںتدبیر کوئی بھی ستم ناگہاں کی ہے
اردو ہے جس کا نام ہمیں جانتے ہیں داغؔہندوستاں میں دھوم ہماری زباں کی ہے
— داغ دہلوی
Kaabe ki hai hawas kabhi koo-e-butan ki haiMujh ko khabar nahin meri mitti kahan ki hai
Sun ke mera fasana unhein lutf aa gayaSunta hun ab ke roz talab-e-qissa-khwan ki hai
Paigham-bar ki baat par aapas mein ranj kiyaMeri zaban ki hai na tumhari zaban ki hai
Kuch tazgi ho lazzat-e-azaaar ke liyeHar dam mujhe talash naye aasman ki hai
Jaan-bar bhi ho gaye hain bahut mujh se neem-jaanKya gham hai aye tabeeb jo poori wahan ki hai
Hasrat baras rahi hai hamare mazaar parKahte hain sab yeh qabr kisi naujawan ki hai
Waqt-e-kharam-e-naz dikha do juda judaYeh chaal hashr ki yeh rawish aasman ki hai
Fursat kahan ke hum se kisi waqt to mileDin ghair ka hai raat tere pasbaan ki hai
Qasid ki guftugu se tasalli ho kis tarahChhupti nahin woh baat jo teri zaban ki hai
Jaur-e-raqib-o-zulm-e-falak ka nahin khayalTashweesh ek khatir-e-na-mehrban ki hai
Sun kar mera fasana-e-gham us ne yeh kahaHo jaaye jhoot sach yahi khubi-e-bayan ki hai
Daman sambhal, bandh kamar, aasteen chadhaKhanjar nikal dil mein agar imtihan ki hai
Har har nafas mein dil se nikalne laga ghubarKya jaane gard-e-rah yeh kis karwan ki hai
Kyunkar na aate khuld se Adam zameen parMauzoon wahin woh khoob hai jo sunte jahan ki hai
Taqdeer se yeh puchh raha hun ke ishq meinTadbeer koi bhi sitam-e-nagaahan ki hai
Urdu hai jis ka naam humein jaante hain DaghHindustan mein dhoom hamari zaban ki hai