سوچتے رہتے ہیں اکثر رات میںڈوب کیوں جاتے ہیں منظر رات میں
کس نے لہرائی ہیں زلفیں دور تککون پھرتا ہے کھلے سر رات میں
چاندنی پی کر بہک جاتی ہے راتچاند بن جاتا ہے ساغر رات میں
چوم لیتے ہیں کناروں کی حدیںجھوم اٹھتے ہیں سمندر رات میں
کھڑکیوں سے جھانکتی ہے روشنیبتیاں جلتی ہیں گھر گھر رات میں
رات کا ہم پر بڑا احسان ہےرو لیا کرتے ہیں کھل کر رات میں
دل کا پہلو میں گماں ہوتا نہیںآنکھ بن جاتی ہے پتھر رات میں
علویؔ صاحب وقت ہے آرام کاسو رہو سب کچھ بھلا کر رات میں
— محمد علوی
sochte rehte hain aksar raat meindoob kyon jaate hain manzar raat mein
kis ne lahrai hain zulfen door takkaun phirta hai khule sar raat mein
chandni pi kar behak jaati hai raatchand ban jaata hai saghar raat mein
choom lete hain kinaron ki hadenjhoom uThte hain samundar raat mein
khirkiyon se jhankaati hai roshnibattiyan jalti hain ghar ghar raat mein
raat ka ham par baRa ehsan hairo liya karte hain khul kar raat mein
dil ka pahlu mein guman hota nahinaankh ban jaati hai patthar raat mein
Alvi sahib waqt hai aaram kaso raho sab kuch bhula kar raat mein