احسن نہ کسی آنکھ نے اُنﷺ سا دیکھااجمل نہ کسی ماں نے جنا ہی اُنﷺ سا
بے عیب ہے خالق نے انہیںﷺ خَلق کیاوہﷺ حسبِ تمنا ہی بنے ہوں گویا
--------------یثرب میں اندھیرا ہی تو چھایا رہتا
قدمین مبارک جو نہ رکھتے آقاﷺباطن جو ہو یثرب تو مدینہ کرلیں
روشن کریں واں عشقِ محمدﷺ کا دِیا-----------------
دل، روح و نظر کو بھی کروں نعتِ نبیﷺاور خونِ جگر سے میں لکھوں نعتِ نبیﷺ
آقائے دو عالمﷺ جو ہوں تشریف آورحسرت ہے قیامت میں پڑھوں نعتِ نبیﷺ
-----------------
— راشد ڈوگر
Ahsan na kisi aankh ne un sa dekhaAjmal na kisi maa ne jana hi un sa
Be-aib hai Khaliq ne unhein khalq kiyaWo hasb-e-tamanna hi bane hon goya
--------------Yasrab mein andhera hi to chhaya rehta
Qadmain mubarak jo na rakhte AqaaBaatin jo ho Yasrab to Madina kar lein
Roshan karein waan ishq-e-Muhammad ka diya-----------------
Dil, rooh o nazar ko bhi karoon naat-e-NabiAur khoon-e-jigar se main likhoon naat-e-Nabi
Aqaa-e-do-alam jo hon tashreef aawarHasrat hai qiyamat mein padhoon naat-e-Nabi
-----------------