جاگتا ہوں میں ایک اکیلا دنیا سوتی ہےکتنی وحشت ہجر کی لمبی رات میں ہوتی ہے
یادوں کے سیلاب میں جس دم میں گھر جاتا ہوںدل دیوار ادھر جانے کی خواہش ہوتی ہے
خواب دیکھنے کی حسرت میں تنہائی میریآنکھوں کی بنجر دھرتی میں نیندیں بوتی ہے
خود کو تسلی دینا کتنا مشکل ہوتا ہےکوئی قیمتی چیز اچانک جب بھی کھوتی ہے
عمر سفر جاری ہے بس یہ کھیل دیکھنے کوروح بدن کا بوجھ کہاں تک کب تک ڈھوتی ہے
— شہریار
Jaagta hoon main ek akela duniya soti haiKitni wahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai
Yaadon ke sailaab mein jis dam main ghar jaata hoonDil deewar udhar jaane ki khwahish hoti hai
Khwab dekhne ki hasrat mein tanhai meriAankhon ki banjar dharti mein neendein boati hai
Khud ko tasalli dena kitna mushkil hota haiKoi qeemati cheez achaanak jab bhi khooti hai
Umar safar jaari hai bas yeh khel dekhne koRooh badan ka bojh kahan tak kab tak dhoati hai