زندگی جب بھی تری بزم میں لاتی ہے ہمیںیہ زمیں چاند سے بہتر نظر آتی ہے ہمیں
سرخ پھولوں سے مہک اٹھتی ہیں دل کی راہیںدن ڈھلے یوں تری آواز بلاتی ہے ہمیں
یاد تیری کبھی دستک کبھی سرگوشی سےرات کے پچھلے پہر روز جگاتی ہے ہمیں
ہر ملاقات کا انجام جدائی کیوں ہےاب تو ہر وقت یہی بات ستاتی ہے ہمیں
— شہریار
Zindagi jab bhi teri bazm mein lati hai hameinYe zamin chand se behtar nazar aati hai hamein
Surkh phoolon se mahak uthti hain dil ki raaheinDin dhale yoon teri aawaz bulati hai hamein
Yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi seRaat ke pichle pahar roz jagati hai hamein
Har mulaqat ka anjaam judai kyoon haiAb to har waqt yahi baat satati hai hamein