اس کے جاتے ہی یہ کیا ہو گئی گھر کی صورتنہ وہ دیوار کی صورت ہے نہ در کی صورت
کس سے پیمان وفا باندھ رہی ہے بلبلکل نہ پہچان سکے گی گل تر کی صورت
ہے غم روز جدائی نہ نشاط شب وصلہو گئی اور ہی کچھ شام و سحر کی صورت
اپنی جیبوں سے رہیں سارے نمازی ہشیاراک بزرگ آتے ہیں مسجد میں خضر کی صورت
دیکھیے شیخ مصور سے کھچے یا نہ کھچےصورت اور آپ سے بے عیب بشر کی صورت
واعظو آتش دوزخ سے جہاں کو تم نےیہ ڈرایا ہے کہ خود بن گئے ڈر کی صورت
کیا خبر زاہد قانع کو کہ کیا چیز ہے حرصاس نے دیکھی ہی نہیں کیسۂ زر کی صورت
میں بچا تیر حوادث سے نشانہ بن کرآڑے آئی مری تسلیم سپر کی صورت
شوق میں اس کے مزا درد میں اس کے لذتناصحو اس سے نہیں کوئی مفر کی صورت
حملہ اپنے پہ بھی اک بعد ہزیمت ہے ضروررہ گئی ہے یہی اک فتح و ظفر کی صورت
رہنماؤں کے ہوئے جاتے ہیں اوسان خطاراہ میں کچھ نظر آتی ہے خطر کی صورت
یوں تو آیا ہے تباہی میں یہ بیڑا سو بارپر ڈراتی ہے بہت آج بھنور کی صورت
ان کو حالیؔ بھی بلاتے ہیں گھر اپنے مہماںدیکھنا آپ کی اور آپ کے گھر کی صورت
— الطاف حسین حالی
us ke jaate hi ye kya ho gayi ghar ki sooratna woh deewar ki soorat hai na dar ki soorat
kis se paiman-e-wafa baandh rahi hai bulbulkal na pehchan sake gi gul-e-tar ki soorat
hai gham-e-roz-e-judai na nishat-e-shab-e-waslho gayi aur hi kuch sham o sehar ki soorat
apni jaibon se rahein saare namazi hoshiyarek buzurg aate hain masjid mein Khizr ki soorat
dekhiye shaikh-e-musawwir se khichle ya na khichlesoorat aur aap se be-aib bashar ki soorat
waizon aatish-e-dozakh se jahan ko tum neye daraya hai ke khud ban gaye dar ki soorat
kya khabar zaahid-e-qaani ko ke kya cheez hai hirsus ne dekhi hi nahin kisa-e-zar ki soorat
main bacha teer-e-hawadis se nishana ban karaade aayi meri tasleem sipar ki soorat
shauq mein us ke maza dard mein us ke lazzatnaasehon us se nahin koi mafar ki soorat
hamla apne pe bhi ek baad-e-hazeemat hai zarurreh gayi hai yehi ek fateh o zafar ki soorat
rehnamaon ke hue jaate hain awaasan khataraah mein kuch nazar aati hai khatar ki soorat
yun to aaya hai tabahi mein ye beda sau baarpar darati hai bahut aaj bhanwar ki soorat
un ko Hali bhi bulaate hain ghar apne mehmandekhna aap ki aur aap ke ghar ki soorat