مائل ضبط بھی آمادۂ فریاد بھی ہےدل گرفتار محبت بھی ہے آزاد بھی ہے
داستان دل مایوس نہ پوچھ اے ہمدمیہ وہ بستی ہے جو آباد بھی برباد بھی ہے
اے مرے ضبط کو کامل نہ سمجھنے والےقابل داد مری کوشش فریاد بھی ہے
اڑ کے جاؤں بھی تو کیا اور نہ جاؤں بھی تو کیامنتظر برق بھی ہے تاک میں صیاد بھی ہے
کیا لکھوں کیا نہ لکھوں سرخی افسانۂ دلغم بھی ہے درد بھی حسرت بھی ہے فریاد بھی ہے
دل دیوانہ کی تو ہستیٔ ہشیار نہ پوچھیہ گرفتار قفس طائر آزاد بھی ہے
میری تسکین تو کر بھول کے اتنا تو بتایاد رکھنے کا جو وعدہ تھا تجھے یاد بھی ہے
اک روشؔ دل کی ہو اے عرشؔ تو کچھ بات بھی ہوکیا مصیبت ہے کہ یہ شاد بھی ناشاد بھی ہے
— عرش ملسیانی
Maail-e zabt bhi amada-e faryad bhi haiDil giraftar-e mohabbat bhi hai azad bhi hai
Dastan-e dil-e mayoos na pooch ae hamdamYeh woh basti hai jo abad bhi barbaad bhi hai
Ae mere zabt ko kaamil na samajhne waleQabil-e daad meri koshish-e faryad bhi hai
Ur ke jaaun bhi to kya aur na jaaun bhi to kyaMuntazir barq bhi hai taak mein sayyad bhi hai
Kya likhun kya na likhun surkhi-e afsana-e dilGham bhi hai dard bhi hasrat bhi hai faryad bhi hai
Dil-e deewana ki tu hasti-e hoshyar na poochYeh giraftar-e qafas tair-e azad bhi hai
Meri taskeen to kar bhool ke itna to bataYaad rakhne ka jo wada tha tujhe yaad bhi hai
Ek ravish dil ki ho ae Arsh to kuch baat bhi hoKya museebat hai keh yeh shaad bhi nashad bhi hai