دھوپ کے دشت میں بے سایہ شجر میں ہم تھےمنہمک پھر بھی سرابوں کے سفر میں ہم تھے
منتشر کر چکی آندھی تو یہ معلوم ہوااک بگولے کی طرح ریت کے گھر میں ہم تھے
تیری آواز کے جادو نے خبردار کیانا سمجھ تھے کہ بلاؤں کے اثر میں ہم تھے
تا نہ شاکی رہے دریائے ہوس کی کوئی موجبادباں جسم کے کھولے کہ بھنور میں ہم تھے
یہ ترے قرب کا اعجاز ہے ورنہ پہلےطاق اتنے کہاں جینے کے ہنر میں ہم تھے
— شہریار
Dhoop ke dasht mein be-saya shajar mein hum theMunhamik phir bhi saraabon ke safar mein hum the
Muntashir kar chuki aandhi to ye maloom huaEk bagule ki tarah ret ke ghar mein hum the
Teri aawaaz ke jaadu ne khabardar kiyaNa-samajh the ke balaaon ke asar mein hum the
Ta na shaaki rahe darya-e-hawas ki koi maujBaadbaan jism ke khole ke bhanwar mein hum the
Yeh tere qurb ka eijaz hai warna pehleTaaq itne kahan jeene ke hunar mein hum the