ہماری آنکھ میں نقشہ یہ کس مکان کا ہےیہاں کا سارا علاقہ تو آسمان کا ہے
ہمیں نکلنا پڑا رات کے جزیرے سےخطر اگرچہ اس اک فیصلے میں جان کا ہے
خبر نہیں ہے کہ دریا میں کشتیٔ جاں ہےمعاہدہ جو ہواؤں سے بادبان کا ہے
تمام شہر پہ خاموشیاں مسلط ہیںلبوں کو کھولو کہ یہ وقت امتحان کا ہے
کہا ہے اس نے تو گزرے گا جسم سے ہو کریقین یوں ہے وہ پکا بہت زبان کا ہے
— شہریار
Hamari aankh mein naqsha ye kis makan ka haiYahan ka sara ilaqa to aasman ka hai
Hamein nikalna pada raat ke jazire seKhatar agarche us ik faisle mein jaan ka hai
Khabar nahin hai ke darya mein kashti jaan haiMoahida jo hawaon se baadban ka hai
Tamam shahar pe khamoshiyan musallat hainLabon ko kholo ke ye waqt imtihan ka hai
Kaha hai us ne to guzrega jism se ho karYaqeen yun hai woh pakka bahut zaban ka hai