ہزار بار مٹی اور پائمال ہوئی ہےہماری زندگی تب جا کے بے مثال ہوئی ہے
اسی سبب سے تو پرچھائیں اپنے ساتھ نہیں ہےصعوبت سفر شوق سے نڈھال ہوئی ہے
سکون پھر بھی تو وحشت سرائے دل میں نہیں ہےنگاہ یار اگرچہ شریک حال ہوئی ہے
خوشی کے لمحے تو جوں توں گزر گئے ہیں یہاں پربس ایک ساعت غم کاٹنی محال ہوئی ہے
لکیر نور کی جو آسمان دل پہ بنی ہےاندھیری رات کا حملہ ہوا تو ڈھال ہوئی ہے
— شہریار
Hazaar baar mitti aur paayemaal hui haiHamari zindagi tab ja ke be-misaal hui hai
Isi sabab se to parchhaiyan apne saath nahin haiSa'oobat-e-safar-e-shauq se nidhaal hui hai
Sukoon phir bhi to wahshat saraye dil mein nahin haiNigah-e-yaar agarche shareek-e-haal hui hai
Khushi ke lamhe to jon ton guzar gaye hain yahan parBas ek sa'at gham kaatni muhaal hui hai
Lakeer noor ki jo aasmaan-e-dil pe bani haiAndheri raat ka hamla hua to dhaal hui hai