بہار اور خزاں موت اور زندگی کے منظم مناظر سے آگے بھیکچھ ایسے منظر ہیں
آنکھوں کی جن تک رسائی نہیں ہےشجر جس کی ساری جڑیں آسمانوں میں پھیلی ہیں
اور ٹہنیاں کھردری سخت لاوا اگلتی زمیںکے بدن میں مسلسل اترتی چلی جا رہی ہیں
ہوا کے سمندر میں بے بادباں کشتیوں پر درندےلہو رنگ خوشبو کی دیوار کا گہرا سایہ
ہری سرخ نیلی سیہ روشنیروشنی کی لکیریں
لکیروں کی آوازآواز کا دائرہ
دائرے اور نقطے میں بڑھتا ہوا فاصلہفاصلہ اور سفر
بہار اور خزاں موت اور زندگی کے منظم مناظر سے آگے بھیکچھ ایسے منظر ہیں آنکھوں کی جن تک رسائی نہیں ہے
— شہریار
Bahar aur khizan maut aur zindagi ke munazzam manazar se aage bhiKuch aise manzar hain
Aankhon ki jin tak rasai nahin haiShajar jis ki saari jadein aasmanon mein phaili hain
Aur tehniyan khurduri sakht laava ugalti zameenKe badan mein musalsal utarti chali ja rahi hain
Hawa ke samandar mein be-baadbaan kashtiyon par darindeLahoo rang khushboo ki deewar ka gehra saya
Hari surkh neeli siyaha roshniRoshni ki lakeerein
Lakeeron ki awaazAwaaz ka daaira
Daaire aur nuqte mein barhta hua faslaFasla aur safar
Bahar aur khizan maut aur zindagi ke munazzam manazar se aage bhiKuch aise manzar hain aankhon ki jin tak rasai nahin hai