یہ کیا جگہ ہے دوستو یہ کون سا دیار ہےحد نگاہ تک جہاں غبار ہی غبار ہے
ہر ایک جسم روح کے عذاب سے نڈھال ہےہر ایک آنکھ شبنمی ہر ایک دل فگار ہے
ہمیں تو اپنے دل کی دھڑکنوں پہ بھی یقیں نہیںخوشا وہ لوگ جن کو دوسروں پہ اعتبار ہے
نہ جس کا نام ہے کوئی نہ جس کی شکل ہے کوئیاک ایسی شے کا کیوں ہمیں ازل سے انتظار ہے
— شہریار
Ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayaar haiHadd-e-nigah tak jahan ghubaar hi ghubaar hai
Har ek jism rooh ke azaab se nidhaal haiHar ek aankh shabnami har ek dil figaar hai
Hamein to apne dil ki dhadkano pe bhi yaqeen nahinKhusha wo log jin ko doosron pe aitbaar hai
Na jis ka naam hai koi na jis ki shakal hai koiEk aisi shai ka kyun hamein azal se intizaar hai