یہ اک شجر کہ جس پہ نہ کانٹا نہ پھول ہےسائے میں اس کے بیٹھ کے رونا فضول ہے
راتوں سے روشنی کی طلب ہائے سادگیخوابوں میں اس کی دید کی خو کیسی بھول ہے
ہے ان کے دم قدم ہی سے کچھ آبروئے زیستدامن میں جن کے دشت تمنا کی دھول ہے
سورج کا قہر صرف برہنہ سروں پہ ہےپوچھو ہوس پرست سے وہ کیوں ملول ہے
آؤ ہوا کے ہاتھ کی تلوار چوم لیںاب بزدلوں کی فوج سے لڑنا فضول ہے
— شہریار
Yeh ek shajar ke jis pe na kaanta na phool haiSaaye mein us ke baith ke rona fazool hai
Raaton se roshni ki talab haaye saadgiKhwabon mein us ki deed ki kho kaisi bhool hai
Hai un ke dam qadam hi se kuch aabroo-e-zeestDaman mein jin ke dasht-e-tamanna ki dhool hai
Suraj ka qahr sirf barhana saron pe haiPoochho hawas parast se woh kyun malool hai
Aao hawa ke haath ki talwar choom leinAb buzdilon ki fauj se ladna fazool hai