یہ جگہ اہل جنوں اب نہیں رہنے والیفرصت عشق میسر کہاں پہلے والی
کوئی دریا ہو کہیں جو مجھے سیراب کرےایک حسرت ہے جو پوری نہیں ہونے والی
وقت کوشش کرے میں چاہوں مگر یاد تریدھندلی ہو سکتی ہے دل سے نہیں مٹنے والی
اب مرے خوابوں کی باری ہے یہی لگتا ہےنیند تو چھن چکی کب کی مرے حصے والی
ان دنوں میں بھی ہوں کچھ کار جہاں میں مصروفبات تجھ میں بھی نہیں رہ گئی پہلے والی
— شہریار
Yeh jagah ahl-e-junoon ab nahin rehne waliFursat-e-ishq muyassar kahan pehle wali
Koi darya ho kahin jo mujhe sairaab kareEk hasrat hai jo poori nahin hone wali
Waqt koshish kare main chahoon magar yaad teriDhundli ho sakti hai dil se nahin mitne wali
Ab mere khwaabon ki baari hai yahi lagta haiNeend to chhin chuki kab ki mere hisse wali
In dinon mein bhi hoon kuch kaar-e-jahan mein masroofBaat tujh mein bhi nahin reh gayi pehle wali