زندگی جیسی توقع تھی نہیں کچھ کم ہےہر گھڑی ہوتا ہے احساس کہیں کچھ کم ہے
گھر کی تعمیر تصور ہی میں ہو سکتی ہےاپنے نقشے کے مطابق یہ زمیں کچھ کم ہے
بچھڑے لوگوں سے ملاقات کبھی پھر ہوگیدل میں امید تو کافی ہے یقیں کچھ کم ہے
اب جدھر دیکھیے لگتا ہے کہ اس دنیا میںکہیں کچھ چیز زیادہ ہے کہیں کچھ کم ہے
آج بھی ہے تری دوری ہی اداسی کا سببیہ الگ بات کہ پہلی سی نہیں کچھ کم ہے
— شہریار
Zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam haiHar ghadi hota hai ehsaas kahin kuchh kam hai
Ghar ki taameer tasawwur hi mein ho sakti haiApne naqshe ke mutabiq yeh zamin kuchh kam hai
Bichhde logon se mulaqat kabhi phir hogiDil mein ummeed to kaafi hai yaqeen kuchh kam hai
Ab jidhar dekhiye lagta hai ki is duniya meinKahin kuchh cheez zyada hai kahin kuchh kam hai
Aaj bhi hai teri doori hi udasi ka sababYeh alag baat ki pehle si nahin kuchh kam hai