دل کوں تجھ باج بے قراری ہےچشم کا کام اشک باری ہے
شب فرقت میں مونس و ہم دمبے قراروں کوں آہ و زاری ہے
اے عزیزاں مجھے نہیں برداشتسنگ دل کا فراق بھاری ہے
فیض سوں تجھ فراق کے ساجنچشم گریاں کا کام جاری ہے
فوقیت لے گیا ہوں بلبل سوںگرچہ منصب میں دو ہزاری ہے
عشق بازوں کے حق میں قاتل کیہر نگہ خنجر و کٹاری ہے
آتش ہجر لالہ رو سوں ولیؔداغ سینے میں یادگاری ہے
— ولی محمد ولی
Dil kooñ tujh baaj be-qarari haiChashm ka kaam ashk-bari hai
Shab-e-furqat mein monis-o-hamdamBe-qararoñ kooñ aah-o-zari hai
Aye azeezañ mujhe nahin bardaashtSang-dil ka firaaq bhari hai
Faiz sooñ tujh firaaq ke saajanChashm-e-giryaan ka kaam jari hai
Fauqiyat le gaya hoon bulbul sooñGarchih mansab mein do-hazari hai
Ishq-bazoñ ke haq mein qaatil kiHar nigah khanjar-o-kataari hai
Aatish-e-hijr lala-ru sooñ WaliDaagh seene mein yaadgaari hai