روگ ایسے بھی غم یار سے لگ جاتے ہیںدر سے اٹھتے ہیں تو دیوار سے لگ جاتے ہیں
عشق آغاز میں ہلکی سی خلش رکھتا ہےبعد میں سیکڑوں آزار سے لگ جاتے ہیں
پہلے پہلے ہوس اک آدھ دکاں کھولتی ہےپھر تو بازار کے بازار سے لگ جاتے ہیں
بے بسی بھی کبھی قربت کا سبب بنتی ہےرو نہ پائیں تو گلے یار سے لگ جاتے ہیں
کترنیں غم کی جو گلیوں میں اڑی پھرتی ہیںگھر میں لے آؤ تو انبار سے لگ جاتے ہیں
داغ دامن کے ہوں دل کے ہوں کہ چہرے کے فرازؔکچھ نشاں عمر کی رفتار سے لگ جاتے ہیں
— احمد فراز
Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hainDar se uthte hain to deewar se lag jaate hain
Ishq aaghaz mein halki si khalish rakhta haiBaad mein sainkadon aazaar se lag jaate hain
Pehle pehle hawas ek aadh dukan kholti haiPhir to bazaar ke bazaar se lag jaate hain
Be-basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti haiRo na paayen to gale-e-yaar se lag jaate hain
Katranen gham ki jo galiyon mein udi phirti hainGhar mein le aao to ambaar se lag jaate hain
Daagh daaman ke hon dil ke hon ke chehre ke FarazKuchh nishan umr ki raftaar se lag jaate hain