کلی پہ رنگ گلوں پر نکھار بھی تو نہیںبہار خاک امید بہار بھی تو نہیں
کچھ ایسی آگ لگی ہے مرے گلستاں میںیہاں شجر کوئی بے برگ و بار بھی تو نہیں
اسی فریب میں رہتا کہ پاس ہے منزلستم تو یہ ہے کہ رہ میں غبار بھی تو نہیں
مجھے زمانے نے بخشی ہے وہ فریب کی مےنشہ تو ایک طرف ہے خمار بھی تو نہیں
سمجھ میں آتی نہیں سرد مہریٔ دنیاکسی کے سینے میں غم کا شرار بھی تو نہیں
قرار دل کے لئے ڈھونڈھتا مگر توبہترے بغیر یہ اب بیقرار بھی تو نہیں
نکل تو جاؤ جہان خراب سے اے عرشؔمگر یہاں کوئی جائے فرار بھی تو نہیں
— عرش ملسیانی
Kali pe rang gulon par nikhar bhi to nahinBahar khaak umeed-e-bahar bhi to nahin
Kuchh aisi aag lagi hai mere gulistan meinYahan shajar koi be-barg o baar bhi to nahin
Isi fareb mein rehta ke paas hai manzilSitam to yeh hai ke rah mein ghubar bhi to nahin
Mujhe zamane ne bakhshi hai woh fareb ki maiNasha to ek taraf hai khumar bhi to nahin
Samajh mein aati nahin sard mehri-e-duniyaKisi ke seene mein gham ka sharar bhi to nahin
Qarar-e-dil ke liye dhoondhta magar taubaTere baghair yeh ab beqarar bhi to nahin
Nikal to jao jahan-e-kharab se ae ArshMagar yahan koi ja-e-farar bhi to nahin