تم اگر سیکھنا چاہو … مجھے بتلا دیناعام سا فن تو کوئی ہے نہیں تحفہ دینا
ایک ہی شخص ہے جس کو یہ ہنر آتا ہےروٹھ جانے پہ فضا اور بھی مہکا دینا
بھانپ لینا کہ بہت وقت نہیں اُس کے پاساور پھر اُس کو کسی بحث میں الجھا دینا
حُسن دنیا میں اِسی کام کو بھیجا گیا ہےکہ جہاں آگ لگی ہو .. اُسے بھڑکا دینا
اُن بزرگوں کا یہی کام ہوا کرتا تھاجہاں خوبی نظر آئی اُسے چمکا دینا
دل بتاتا ہے مجھے عقل کی باتیں کیا کیابندہ پوچھے کہ ترا ہے کوئی لینا دینا
اور کہنا کہ دِلوں میں نہیں کوئی سرحداپنے بچوں کو نہ قرآن نہ گیتا دینا
اور کچھ یاد نہ رہتا تھا لڑائی میں اُسےہاں مگر میرے گزشتہ کا حوالہ دینا
اُس کی فطرت میں نہ تھا ترک ِ تعلق لیکندوسرے شخص کو اِس نہج پہ پہنچا دینا
جانتا تھا کہ بہت خاک اڑائے گا مریکوئی آسان نہیں تھا اُسے رستہ دینا
یہ وہ منصب ہیں جو اپنوں کو دیے جاتے ہیںیاد کیا رکھنا اُسے اور بھُلا کیا دینا
کیا پتہ خود سے چھڑی جنگ کہاں لے جائےجب بھی یاد آؤں مری جان کا صدقہ دینا
دل کا سامان کوئی خاک خریدے اُس سےیاد ہی جس کو نہ رہتا ہو بقایا دینا
بات کرنے سے گریزاں نظر آتے ہیں مگرختم ہے حضرت ِ جواد پہ لقمہ دینا
— جواد شیخ
Tum agar sīkhnā chāho … mujhe batlā denāĀm sā fan to koi hai nahīñ tohfa denā
Ek hi shakhs hai jis ko yeh hunar ātā haiRūṭh jaane pe fizā aur bhi mehkā denā
Bhānp lenā ke bahut waqt nahīñ us ke pāsAur phir us ko kisi bahas mein uljhā denā
Husn dunyā mein isī kaam ko bhejā gayā haiKe jahāñ āg lagī ho .. use bhaṛkā denā
Un buzurgon ka yahī kaam huā kartā thāJahāñ khūbī nazar āī use chamkā denā
Dil batātā hai mujhe aql kī bāteñ kya kyaBanda pūchhe ke terā hai koi lenā denā
Aur kahnā ke diloñ mein nahīñ koi sarhadApne bacchoñ ko na Qur'ān na Gītā denā
Aur kuch yād na rahtā thā laṛāī mein useHāñ magar mere guzāshta ka hawāla denā
Us kī fitrat mein na thā tark-e-ta'alluq lekinDūsre shakhs ko is nahaj pe pahuñchā denā
Jāntā thā ke bahut khāk uṛāye ga mirīKoi āsān nahīñ thā use rasta denā
Yeh woh mansab haiñ jo apnoñ ko diye jaate haiñYād kya rakhnā use aur bhulā kya denā
Kya pata khud se chiṛī jang kahāñ le jaayeJab bhi yād āūñ mirī jān ka sadqa denā
Dil ka sāmān koi khāk kharīde us seYād hi jis ko na rahtā ho baqāyā denā
Bāt karne se gurezāñ nazar āte haiñ magarKhatm hai Hazrat-e-Jawād pe luqma denā