آیا نہ راس نالۂ دل کا اثر مجھےاب تم ملے تو کچھ نہیں اپنی خبر مجھے
دل لے کے مجھ سے دیتے ہو داغ جگر مجھےیہ بات بھولنے کی نہیں عمر بھر مجھے
ہر سو دکھائی دیتے ہیں وہ جلوہ گر مجھےکیا کیا فریب دیتی ہے میری نظر مجھے
ملتی نہیں ہے لذت درد جگر مجھےبھولی ہوئی نہ ہو نگہ فتنہ گر مجھے
ڈالا ہے بے خودی نے عجب راہ پر مجھےآنکھیں ہیں اور کچھ نہیں آتا نظر مجھے
کرنا ہے آج حضرت ناصح سے سامنامل جائے دو گھڑی کو تمہاری نظر مجھے
مستانہ کر رہا ہوں رہ عاشقی کو طےلے جائے جذب شوق مرا اب جدھر مجھے
ڈرتا ہوں جلوۂ رخ جاناں کو دیکھ کراپنا بنا نہ لے کہیں میری نظر مجھے
یکساں ہے حسن و عشق کی سر مستیوں کا رنگان کی خبر انہیں ہے نہ میری خبر مجھے
مرنا ہے ان کے پاؤں پہ رکھ کر سر نیازکرنا ہے آج قصۂ غم مختصر مجھے
سینے سے دل عزیز ہے دل سے ہو تم عزیزسب سے مگر عزیز ہے تیری نظر مجھے
میں دور ہوں تو روئے سخن مجھ سے کس لیےتم پاس ہو تو کیوں نہیں آتے نظر مجھے
کیا جانئے قفس میں رہے کیا معاملہاب تک تو ہیں عزیز مرے بال و پر مجھے
— جگر مراد آبادی
Aaya na raas naala-e-dil ka asar mujheAb tum mile to kuch nahin apni khabar mujhe
Dil le ke mujh se dete ho daagh-e-jigar mujheYeh baat bhoolne ki nahin umar bhar mujhe
Har soo dikhai dete hain woh jalwa-gar mujheKya kya fareb deti hai meri nazar mujhe
Milti nahin hai lazzat-e-dard-e-jigar mujheBhooli hui na ho nigah-e-fitna-gar mujhe
Daala hai be-khudi ne ajab raah par mujheAankhein hain aur kuch nahin aata nazar mujhe
Karna hai aaj Hazrat Naaseh se saamnaMil jaaye do ghadi ko tumhari nazar mujhe
Mastana kar raha hoon rah-e-aashiqi ko taiLe jaaye jazb-e-shauq mera ab jidhar mujhe
Darta hoon jalwa-e-rukh-e-jaanan ko dekh karApna bana na le kahin meri nazar mujhe
Yaksaan hai husn-o-ishq ki sar-mastiyon ka rangUn ki khabar unhein hai na meri khabar mujhe
Marna hai un ke paaon pe rakh kar sar-e-niyazKarna hai aaj qissa-e-gham mukhtasar mujhe
Seene se dil aziz hai dil se ho tum azizSab se magar aziz hai teri nazar mujhe
Main door hoon to rooh-e-sukhan mujh se kis liyeTum paas ho to kyun nahin aate nazar mujhe
Kya jaaniye qafas mein rahe kya mamlaAb tak to hain aziz mere baal-o-par mujhe