اب تو یہ بھی نہیں رہا احساسدرد ہوتا ہے یا نہیں ہوتا
عشق جب تک نہ کر چکے رسواآدمی کام کا نہیں ہوتا
ٹوٹ پڑتا ہے دفعتاً جو عشقبیشتر دیر پا نہیں ہوتا
وہ بھی ہوتا ہے ایک وقت کہ جبماسوا ماسوا نہیں ہوتا
ہائے کیا ہو گیا طبیعت کوغم بھی راحت فزا نہیں ہوتا
دل ہمارا ہے یا تمہارا ہےہم سے یہ فیصلہ نہیں ہوتا
جس پہ تیری نظر نہیں ہوتیاس کی جانب خدا نہیں ہوتا
میں کہ بے زار عمر بھر کے لیےدل کہ دم بھر جدا نہیں ہوتا
وہ ہمارے قریب ہوتے ہیںجب ہمارا پتا نہیں ہوتا
دل کو کیا کیا سکون ہوتا ہےجب کوئی آسرا نہیں ہوتا
ہو کے اک بار سامنا ان سےپھر کبھی سامنا نہیں ہوتا
— جگر مراد آبادی
Ab to yeh bhi nahin raha ehsaasDard hota hai ya nahin hota
Ishq jab tak na kar chuke ruswaAadmi kaam ka nahin hota
Toot padta hai dafatan jo ishqBeshtar der pa nahin hota
Woh bhi hota hai ek waqt ke jabMa siwa ma siwa nahin hota
Haaye kya ho gaya tabiyat koGham bhi rahat-faza nahin hota
Dil hamara hai ya tumhara haiHam se yeh faisla nahin hota
Jis pe teri nazar nahin hotiUs ki jaanib Khuda nahin hota
Main ke bezaar umar bhar ke liyeDil ke dam bhar juda nahin hota
Woh hamare qareeb hote hainJab hamara pata nahin hota
Dil ko kya kya sukoon hota haiJab koi aasra nahin hota
Ho ke ek baar saamna un sePhir kabhi saamna nahin hota