کوئی سوال نہ کوئی جواب دل میں ہےبس ایک درد و الم کا سحاب دل میں ہے
جراحتیں جو لگیں تن پہ زیب تن کر لیںجو دل کے زخم تھے ان کا حساب دل میں ہے
اگر لہو ہے تو آنکھوں میں کیوں نہیں آتایہ موج خوں ہے کہ موج سراب دل میں ہے
مدام ظاہر و باطن میں یہ خلیج رہینگاہ غرق گنہ احتساب دل میں ہے
صحیفۂ الم روزگار ہاتھوں میںکھلی ہوئی ترے غم کی کتاب دل میں ہے
نظر کے سامنے اٹھیں گے روز حشر مگروہ دل میں دفن رہے گا جو خواب دل میں ہے
اگر جگر میں ہو سارے جہاں کا درد تو خیریہ کیا کہ سارے جہاں کا عذاب دل میں ہے
— خورشیدرضوی
Koi sawaal na koi jawaab dil mein haiBas ek dard-o-alam ka sahaab dil mein hai
Jaraahatein jo lageen tan pe zeb-e-tan kar leinJo dil ke zakhm the un ka hisaab dil mein hai
Agar lahoo hai to aankhon mein kyun nahin aataYeh mauj-e-khoon hai ke mauj-e-saraab dil mein hai
Mudaam zaahir-o-baatin mein yeh khaleej rahiNigaah gharq-e-gunah ehtisaab dil mein hai
Saheefa-e-alam-e-rozgaar haathon meinKhuli hui tere gham ki kitaab dil mein hai
Nazar ke saamne uthein ge roz-e-hashr magarWoh dil mein dafn rahe ga jo khwaab dil mein hai
Agar jigar mein ho saare jahaan ka dard to khairYeh kya ke saare jahaan ka azaab dil mein hai