مجھے سہل ہو گئیں منزلیں وہ ہوا کے رخ بھی بدل گئےترا ہاتھ ہاتھ میں آ گیا کہ چراغ راہ میں جل گئے
وہ لجائے میرے سوال پر کہ اٹھا سکے نہ جھکا کے سراڑی زلف چہرہ پہ اس طرح کہ شبوں کے راز مچل گئے
وہی بات جو وہ نہ کہہ سکے مرے شعر و نغمہ میں آ گئیوہی لب نہ میں جنہیں چھو سکا قدح شراب میں ڈھل گئے
وہی آستاں ہے وہی جبیں وہی اشک ہے وہی آستیںدل زار تو بھی بدل کہیں کہ جہاں کے طور بدل گئے
تجھے چشم مست پتہ بھی ہے کہ شباب گرمیٔ بزم ہےتجھے چشم مست خبر بھی ہے کہ سب آبگینے پگھل گئے
مرے کام آ گئیں آخرش یہی کاوشیں یہی گردشیںبڑھیں اس قدر مری منزلیں کہ قدم کے خار نکل گئے
— مجروح سلطانپوری
Mujhe sehal ho gayin manzilein woh hawa ke rukh bhi badal gayeTera haath haath mein aa gaya ke chiragh raah mein jal gaye
Woh laja gaye mere sawal par ke utha sake na jhuka ke sarUdi zulf chehra pe is tarah ke shabon ke raaz machal gaye
Wahi baat jo woh na keh sake mere shair-o-naghma mein aa gayiWahi lab na main jinhein chhu saka qadah-e-sharab mein dhal gaye
Wahi aastaan hai wahi jabeen wahi ashk hai wahi aasteenDil-e-zaar tu bhi badal kaheen ke jahan ke taur badal gaye
Tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ke shabab garmi-e-bazm haiTujhe chashm-e-mast khabar bhi hai ke sab aabgeene pighal gaye
Mere kaam aa gayin akhirish yehi kawishein yehi gardisheinBadhein is qadar meri manzilein ke qadam ke khaar nikal gaye