بسکہ دشوار ہے ہر کام کا آساں ہوناآدمی کو بھی میسر نہیں انساں ہونا
گریہ چاہے ہے خرابی مرے کاشانے کیدر و دیوار سے ٹپکے ہے بیاباں ہونا
وائے دیوانگی شوق کہ ہر دم مجھ کوآپ جانا ادھر اور آپ ہی حیراں ہونا
جلوہ از بس کہ تقاضائے نگہ کرتا ہےجوہر آئنہ بھی چاہے ہے مژگاں ہونا
عشرت قتل گہہ اہل تمنا مت پوچھعید نظارہ ہے شمشیر کا عریاں ہونا
لے گئے خاک میں ہم داغ تمنائے نشاطتو ہو اور آپ بہ صد رنگ گلستاں ہونا
عشرت پارۂ دل زخم تمنا کھانالذت ریش جگر غرق نمکداں ہونا
کی مرے قتل کے بعد اس نے جفا سے توبہہائے اس زود پشیماں کا پشیماں ہونا
حیف اس چار گرہ کپڑے کی قسمت غالبؔجس کی قسمت میں ہو عاشق کا گریباں ہونا
— مرزا غالب
Bas ke dushwaar hai har kaam ka aasaan honaAadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona
Girya chaahe hai kharabi mere kashaane kiDar o deewar se tapke hai biyaban hona
Wae deewangi-e-shauq ke har dam mujh koAap jaana udhar aur aap hi hairan hona
Jalwa az bas ke taqaza-e-nigah karta haiJauhar-e-aaina bhi chaahe hai mizhgan hona
Ishrat-e-qatlgah-e-ahl-e-tamanna mat poochEid-e-nazzara hai shamshir ka uriyaan hona
Le gaye khaak mein hum daagh-e-tamanna-e-nishaatTu ho aur aap ba sad rang gulistan hona
Ishrat-e-para-e-dil zakhm-e-tamanna khanaLazzat-e-resh-e-jigar gharq-e-namakdaan hona
Ki mere qatl ke baad us ne jafa se taubaHaye us zood-e-pashemaan ka pashemaan hona
Haif us char girah kapde ki qismat GhalibJis ki qismat mein ho aashiq ka girebaan hona