دیوانگی سے دوش پہ زنار بھی نہیںیعنی ہمارے جیب میں اک تار بھی نہیں
دل کو نیاز حسرت دیدار کر چکےدیکھا تو ہم میں طاقت دیدار بھی نہیں
ملنا ترا اگر نہیں آساں تو سہل ہےدشوار تو یہی ہے کہ دشوار بھی نہیں
بے عشق عمر کٹ نہیں سکتی ہے اور یاںطاقت بقدر لذت آزار بھی نہیں
شوریدگی کے ہاتھ سے ہے سر وبال دوشصحرا میں اے خدا کوئی دیوار بھی نہیں
گنجایش عداوت اغیار یک طرفیاں دل میں ضعف سے ہوس یار بھی نہیں
ڈر نالہ ہائے زار سے میرے خدا کو مانآخر نوائے مرغ گرفتار بھی نہیں
دل میں ہے یار کی صف مژگاں سے روکشیحالانکہ طاقت خلش خار بھی نہیں
اس سادگی پہ کون نہ مر جائے اے خدالڑتے ہیں اور ہاتھ میں تلوار بھی نہیں
دیکھا اسدؔ کو خلوت و جلوت میں بارہادیوانہ گر نہیں ہے تو ہشیار بھی نہیں
— مرزا غالب
Deewangi se dosh pe zunnar bhi nahinYa'ni hamare jaib mein ek taar bhi nahin
Dil ko niyaz-e-hasrat-e-deedar kar chukeDekha to hum mein taqat-e-deedar bhi nahin
Milna tera agar nahin aasan to sahal haiDushwar to yehi hai ke dushwar bhi nahin
Be-ishq umar kat nahin sakti hai aur yanTaaqat ba-qadr-e-lazzat-e-aazar bhi nahin
Shuridegi ke haath se hai sar-o-baal-e-doshSahra mein ae Khuda koi deewar bhi nahin
Gunjayish-e-adawat-e-aghyar yak tarafYan dil mein za'af se hawas-e-yaar bhi nahin
Dar naala-ha-e-zaar se mere Khuda ko maanAakhir nawa-e-murgh-e-giriftar bhi nahin
Dil mein hai yaar ki saf-e-mizhgan se ro-kashiHalanke taqat-e-khalish-e-khar bhi nahin
Is saadgi pe kaun na mar ja'e ae KhudaLadte hain aur haath mein talwar bhi nahin
Dekha Asad ko khalwat-o-jalwat mein barhaDeewana gar nahin hai to hoshiyar bhi nahin