وہ کہاں ساتھ سلاتے ہیں مجھےخواب کیا کیا نظر آتے ہیں مجھے
اس پری وش سے لگاتے ہیں مجھےلوگ دیوانہ بناتے ہیں مجھے
یا رب ان کا بھی جنازہ اٹھےیار اس کو سے اٹھاتے ہیں مجھے
ابروئے تیغ سے ایما ہے کہ آقتل کرنے کو بلاتے ہیں مجھے
بے وفائی کا عدو کی ہے گلہلطف میں بھی وہ ستاتے ہیں مجھے
حیرت حسن سے یہ شکل بنیکہ وہ آئینہ دکھاتے ہیں مجھے
پھونک دے آتش دل داغ مرےاس کی خو یاد دلاتے ہیں مجھے
گر کہے غمزہ کسے قتل کروںتو اشارت سے بتاتے ہیں مجھے
میں تو اس زلف کی بو پر غش ہوںچارہ گر مشک سنگھاتے ہیں مجھے
شعلہ رو کہتے ہیں اغیار کو وہاپنے نزدیک جلاتے ہیں مجھے
جاں گئی پر نہ گئی جورکشیبعد مردن بھی دباتے ہیں مجھے
وہ جو کہتے ہیں تجھے آگ لگےمژدۂ وصل سناتے ہیں مجھے
اب یہ صورت ہے کہ اے پردہ نشیںتجھ سے احباب چھپاتے ہیں مجھے
مومنؔ اور دیر خدا خیر کرےطور بے ڈھب نظر آتے ہیں مجھے
— مومن خان مومن
Woh kahan saath sulaate hain mujheKhwab kya kya nazar aate hain mujhe
Uss pari-wash se lagaate hain mujheLog deewaana banaate hain mujhe
Ya Rab un ka bhi janaza utheYaar uss ko se uthaate hain mujhe
Abroo-e-tegh se eema hai ke aaQatl karne ko bulaate hain mujhe
Bewafai ka adu ki hai gilaLutf mein bhi woh sataate hain mujhe
Hairat-e-husn se yeh shakal baniKe woh aaina dikhaate hain mujhe
Phoonk de aatish-e-dil daagh mereUss ki kho yaad dilaate hain mujhe
Gar kahe ghamza kise qatl karoonTo ishaarat se bataate hain mujhe
Main to uss zulf ki boo par ghash hoonChaara-gar mushk sunghaate hain mujhe
Shola-roo kehte hain aghyar ko wohApne nazdeek jalaate hain mujhe
Jaan gai par na gai jaur-kashiBaad-e-murdan bhi dabaate hain mujhe
Woh jo kehte hain tujhe aag lageMuzhda-e-wasl sunaate hain mujhe
Ab yeh soorat hai ke ae parda-nasheenTujh se ahbaab chhupaate hain mujhe
Momin aur dair khuda khair kareTaur be-dhab nazar aate hain mujhe