محبت بے غرض یا خودغرض ھےمحبت بے ریا یا بس ریا ھے
یہ ھے بے لوث یا ھے لوث پرورھے سچی مہرباں یا سنگدل ھے
یہ ھے کیا انکساری یا تکبرسخاوت اس کا خاصہ یا بخیلی
عبادت کی ھےصورت یا ہوس ھےمحبت درد مندی
یا کہ ھے ایذا رسانیمحبت کی حقیقت کیا ھے آخر
محبت۔۔۔۔محبت اک صحیفہ ھے
جو پہلی سانس لیتے ھیھمارے دل پہ اُترا ھے
صحیفوں میں تو لکھا ھےریا کاری عبادت خاک کر جائے
تو پھر کیسے ریا کاری محبت ھوحوس میں اور محبت میں
یہ اک تفریق واضح ھےمحبت وصل کے ھونے نہ ھونے سے مُبرّا ھے
حوس ھے یہجو بس اک وصل کی خاطر
ہر اک حد سے گُزر جائےحوس کو ھم محبت کہہ نہیں سکتے
محبت پارسائی ھےیہ اک بے لوث جذبہ ھے
وصل کی خواہشوں سے ماورا ھو کرجسےنہ قول دینا ھے نہ ہی اقرار سننا ھے
بنا شرطوں کے بس جس نےکسی کودل میں رکھنا ھے
جسے محبوب کی خوشیوںمیں خوش رہنے میں راحت ھے
یہی اس کی حقیقت ھےیہی سچی محبت ھے
— سجاد رضا
Mohabbat be-gharaz ya khud-gharaz haiMohabbat be-riya ya bas riya hai
Yeh hai be-laus ya hai laus parwarHai sacchi meherban ya sangdil hai
Yeh hai kya inkisari ya takabburSakhawat is ka khasa ya bakheeli
Ibadat ki hai soorat ya hawass haiMohabbat dard mandi
Ya ke hai eeza-rasaniMohabbat ki haqeeqat kya hai aakhir
Mohabbat....Mohabbat ek sahifa hai
Jo pehli saans lete hiHumare dil pe utra hai
Sahifon mein toh likha haiRiya kari ibadat khak kar jaye
Toh phir kaise riya kari mohabbat hoHawass mein aur mohabbat mein
Yeh ek tafreeq wazeh haiMohabbat vasl ke hone na hone se mubarra hai
Hawass hai yehJo bas ek vasl ki khatir
Har ek had se guzar jayeHawass ko hum mohabbat keh nahin sakte
Mohabbat parsai haiYeh ek be-laus jazba hai
Vasl ki khwahishon se mawara ho karJise na qaul dena hai na hi iqrar sunna hai
Bina sharton ke bas jis neKisi ko dil mein rakhna hai
Jise mehboob ki khushiyonMein khush rehne mein rahat hai
Yehi is ki haqeeqat haiYehi sacchi mohabbat hai