زندگی درد ھے درمان میرے اندر ھےرفوگری کا بھی سامان میرے اندرھے
تیرا کردار بھی مجھ سے چھپا نہیں لیکنبھرم جو رکھتا ھوں انسان میرے اندر ھے
جہاں پہ روز بَطل لڑ رہا ھے باطل سےاک ایسا جنگ کا میدان میرے اندر ھے
مجھے یقیں ھے کہ انسان مجھے ماریں گےوہ مرچکا ھے جو حیوان میرے اندر ھے
مجھے یقین کی منزل تلاش کرنی ھےکہ وسوسوں کا بیابان میرے اندر ھے
کرم تو یہ بھی تیرا ںےحساب ھے مولاکہ تو نے رکھا جو وِجدان میرے اندر ھے
یہ منتظر ھے رضا بس اُسی کےآنے کابنا یُوسف ع کے جو کنعان میرے اندر ھے
— سجاد رضا
Zindagi dard hai darmaan mere andar haiRafugari ka bhi samaan mere andar hai
Tera kirdar bhi mujh se chhupa nahin lekinBharam jo rakhta hoon insaan mere andar hai
Jahan pe roz batal lad raha hai baatil seEk aisa jung ka maidaan mere andar hai
Mujhe yaqeen hai ke insaan mujhe maarengeWoh mar chuka hai jo haiwaan mere andar hai
Mujhe yaqeen ki manzil talaash karni haiKe waswason ka biyaban mere andar hai
Karam toh yeh bhi tera be-hisaab hai MaulaKe tu ne rakha jo wajdan mere andar hai
Yeh muntazir hai Raza bas usi ke aane kaBina Yusuf (AS) ke jo Kanaan mere andar hai