محبت کی حقیقتمحبت بے غرض یا خودغرض ھے
محبت بے ریا یا بس ریا ھےیہ ھے بے لوث یا ھے لوث پرور
ھے سچی مہرباں یا سنگدل ھےیہ ھے کیا انکساری یا تکبر
سخاوت اس کا خاصہ یا بخیلیعبادت کی ھےصورت یا حوس ھے
محبت درد مندی یا کہ ھے ایذا رسانیمحبت کی حقیقت کیا ھے آخر
محبت۔۔۔۔محبت اک صحیفہ ھے
جو پہلی سانس لیتے ھیھمارے دل پہ اُترا ھے
صحیفوں میں تو لکھا ھےریا کاری عبادت خاک کر جائے
تو پھر کیسے ریا کاری محبت ھوحوس میں اور محبت میں
یہ اک تفریق واضح ھےمحبت
وصل کے ھونے نہ ھونے سے مُبرّا ھےحوس ھے یہ
جو بس اک وصل کی خاطرہر اک حد سے گُزر جائے
حوس کو ھممحبت کہہ نہیں سکتے
محبت پارسائی ھےیہ اک بے لوث جذبہ ھے
وصل کی خواہشوں سے ماورا ھو کرجسےنہ قول دینا ھے
نہ ہی اقرار سننا ھےبنا شرطوں کے بس جس نے
کسی کودل میں رکھنا ھےجسے محبوب کی خوشیوں
میں خوش رہنے میں راحت ھےیہی اِس کی حقیقت ھے
یہی سچی محبت ھے
— سجاد رضا
Mohabbat ki haqiqatMohabbat be-gharaz ya khudgharaz hai
Mohabbat be-riya ya bas riya haiYeh hai be-laus ya hai laus parwar
Hai sacchi meherban ya sangdil haiYeh hai kya inkasari ya takabbur
Sakhawat is ka khasa ya bakhiliIbadat ki hai surat ya hawas hai
Mohabbat dardmandi ya ke hai iza-rasaniMohabbat ki haqiqat kya hai aakhir
Mohabbat....Mohabbat ek sahifa hai
Jo pehli saans lete hiHamare dil pe utra hai
Sahifon mein to likha haiRiyakari ibadat khaak kar jaye
To phir kaise riyakari mohabbat hoHawas mein aur mohabbat mein
Yeh ek tafreeq wazeh haiMohabbat
Wasl ke hone na hone se mubarrah haiHawas hai yeh
Jo bas ek wasl ki khatirHar ek hadd se guzar jaye
Hawas ko humMohabbat keh nahin sakte
Mohabbat parsai haiYeh ek be-laus jazba hai
Wasl ki khwahishon se mawara ho karJise na qaul dena hai
Na hi iqrar sunna haiBina sharton ke bas jis ne
Kisi ko dil mein rakhna haiJise mehboob ki khushiyon
Mein khush rehne mein rahat haiYehi is ki haqiqat hai
Yehi sacchi mohabbat hai