یہ قافلے یادوں کے کہیں کھو گئے ہوتےاک پل بھی اگر بھول سے ہم سو گئے ہوتے
اے شہر ترا نام و نشاں بھی نہیں ہوتاجو حادثے ہونے تھے اگر ہو گئے ہوتے
ہر بار پلٹتے ہوئے گھر کو یہی سوچااے کاش کسی لمبے سفر کو گئے ہوتے
ہم خوش ہیں ہمیں دھوپ وراثت میں ملی ہےاجداد کہیں پیڑ بھی کچھ بو گئے ہوتے
کس منہ سے کہیں تجھ سے سمندر کے ہیں حق دارسیراب سرابوں سے بھی ہم ہو گئے ہوتے
— شہریار
Yeh qaafle yaadon ke kahin kho gaye hoteIk pal bhi agar bhool se hum so gaye hote
Ae shahar tera naam o nishan bhi nahin hotaJo hadise hone the agar ho gaye hote
Har baar palatte hue ghar ko yehi sochaAe kaash kisi lambe safar ko gaye hote
Hum khush hain humein dhoop wirasat mein mili haiAjdaad kahin peR bhi kuchh bo gaye hote
Kis munh se kahen tujh se samandar ke hain haqdarSairaab saraabon se bhi hum ho gaye hote