حرم کہتا ہے کچھ دیر بتاں کچھ اور کہتا ہےطریق منزل وارفتگاں کچھ اور کہتا ہے
ہر اک سے ان کا وحشی داستاں کچھ اور کہتا ہےنہیں ہوتا جہاں کوئی وہاں کچھ اور کہتا ہے
امیر کارواں کیا ہے خدائے کارواں ہم تھےمگر اب تو غبار کارواں کچھ اور کہتا ہے
ہر اک جلوہ میں اک پردہ ہر اک پردہ میں اک جلوہبہ ہر صورت سحاب درمیاں کچھ اور کہتا ہے
جناب شیخ کے لب پر خدا کا نام آتا ہےصبوحی کش مگر وقت اذاں کچھ اور کہتا ہے
یہ مانا جنت حسن نظر تھی زندگی اپنیمگر خمیازۂ عمر رواں کچھ اور کہتا ہے
مری ہستی کا ہر ذرہ ہے گنجائش طلب اب تککہ پا کر وسعت کون و مکاں کچھ اور کہتا ہے
قفس میں لاکھ سامان طرب صیاد ہے لیکنمرا نالہ بہ نام آشیاں کچھ اور کہتا ہے
نہیں ہوتی ہے حجت ختم تنہا آب و دانہ پرارے صیاد اسیر بے زباں کچھ اور کہتا ہے
اتاری جا رہی ہیں قیدیوں کی بیڑیاں لیکننشان حلقۂ طوق گراں کچھ اور کہتا ہے
عجب الجھن میں ڈالا تو نے او منہ پھیرنے والےکہ دل کچھ اور کہتا ہے گماں کچھ اور کہتا ہے
مرا ہر ایک سجدہ منتظر ہے قول فیصل کاجبیں کچھ کہہ رہی ہے آستاں کچھ اور کہتا ہے
کلام میرؔ و مرزاؔ قابل صد ناز ہے افقرؔمگر مومنؔ کا انداز بیاں کچھ اور کہتا ہے
— افقر موہانی
Haram kehta hai kuchh der butaan kuchh aur kehta haiTariq-e-manzil-e-waariftagaan kuchh aur kehta hai
Har ek se un ka wahshi daastaan kuchh aur kehta haiNahin hota jahaan koi wahan kuchh aur kehta hai
Amir-e-kaarwan kya hai Khudaya-e-kaarwan hum theMagar ab to ghubar-e-kaarwan kuchh aur kehta hai
Har ek jalwe mein ek parda har ek parde mein ek jalwaBa har surat sahab darmiyaan kuchh aur kehta hai
Janab-e-Shaikh ke lab par Khuda ka naam aata haiSaboohee-kash magar waqt-e-azaan kuchh aur kehta hai
Ye mana jannat-e-husn-e-nazar thi zindagi apniMagar khamiyaza-e-umr-e-rawan kuchh aur kehta hai
Meri hasti ka har zarra hai gunjaish-e-talab ab takKi pa kar wusat-e-kaun-o-makaan kuchh aur kehta hai
Qafas mein lakh samaan-e-tarab sayyad hai lekinMera nala ba naam-e-aashiyan kuchh aur kehta hai
Nahin hoti hai hujjat khatm tanha aab-o-dana parAre sayyad aseer-e-be-zabaan kuchh aur kehta hai
Utari ja rahi hain qaidiyon ki bediyan lekinNishaan-e-halqa-e-tauq-e-giraan kuchh aur kehta hai
Ajab uljhan mein dala tu ne o munh pherne waleKi dil kuchh aur kehta hai gumaan kuchh aur kehta hai
Mera har ek sajda muntazir hai qaul-e-faisal kaJabeen kuchh keh rahi hai aastaan kuchh aur kehta hai
Kalam-e-Meer o Mirza qaabil-e-sad naaz hai AfqarMagar Momin ka andaaz-e-bayaan kuchh aur kehta hai