سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیںسو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سےسو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اس کیسو ہم بھی اس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغفسو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیںیہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہےستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے دن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیںسنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے حشر ہیں اس کی غزال سی آنکھیںسنا ہے اس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اس کیسنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کی سیہ چشمگی قیامت ہےسو اس کو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیںسو ہم بہار پہ الزام دھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے آئنہ تمثال ہے جبیں اس کیجو سادہ دل ہیں اسے بن سنور کے دیکھتے ہیں
سنا ہے جب سے حمائل ہیں اس کی گردن میںمزاج اور ہی لعل و گہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے چشم تصور سے دشت امکاں میںپلنگ زاویے اس کی کمر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے بدن کی تراش ایسی ہےکہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں
وہ سرو قد ہے مگر بے گل مراد نہیںکہ اس شجر پہ شگوفے ثمر کے دیکھتے ہیں
بس اک نگاہ سے لٹتا ہے قافلہ دل کاسو رہروان تمنا بھی ڈر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے شبستاں سے متصل ہے بہشتمکیں ادھر کے بھی جلوے ادھر کے دیکھتے ہیں
رکے تو گردشیں اس کا طواف کرتی ہیںچلے تو اس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں
کسے نصیب کہ بے پیرہن اسے دیکھےکبھی کبھی در و دیوار گھر کے دیکھتے ہیں
کہانیاں ہی سہی سب مبالغے ہی سہیاگر وہ خواب ہے تعبیر کر کے دیکھتے ہیں
اب اس کے شہر میں ٹھہریں کہ کوچ کر جائیںفرازؔ آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں
— احمد فراز
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hainSo us ke shehr mein kuchh din thehar ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab haalon seSo apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us kiSo hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagafSo hum bhi mojize apne hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baaton se phool jhadte hainYeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat usay chand takta rehta haiSitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hainSuna hai raat ko jugnu thehar ke dekhte hain
Suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhenSuna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai raat se badh kar hain kakulein us kiSuna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmgi qayamat haiSo us ko surma farosh aah bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulaab jalte hainSo hum bahar pe ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us kiJo saada dil hain usay bin sanwar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan meinMizaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan meinPalang zawiye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ki tarash aisi haiKe phool apni qabain katar ke dekhte hain
Wo sarv-e-qad hai magar be-gul muraad nahinKe is shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutta hai qafla-e-dil kaSo rehravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se muttasil hai behishtMakeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
Ruke to gardishen us ka tawaf karti hainChale to us ko zamane thehar ke dekhte hain
Kise naseeb ke be-pairahan usay dekheKabhi kabhi dar-o-deewar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahiAgar wo khwab hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke shehr mein thehren ke koch kar jaayenFaraz, aao sitare safar ke dekhte hain