مل ہی جائے گا کبھی دل کو یقیں رہتا ہےوہ اسی شہر کی گلیوں میں کہیں رہتا ہے
جس کی سانسوں سے مہکتے تھے در و بام ترےاے مکاں بول کہاں اب وہ مکیں رہتا ہے
اک زمانہ تھا کہ سب ایک جگہ رہتے تھےاور اب کوئی کہیں کوئی کہیں رہتا ہے
روز ملنے پہ بھی لگتا تھا کہ جگ بیت گئےعشق میں وقت کا احساس نہیں رہتا ہے
دل فسردہ تو ہوا دیکھ کے اس کو لیکنعمر بھر کون جواں کون حسیں رہتا ہے
— احمد مشتاق
Mil hi jaaega kabhi dil ko yaqeen rahta haiWoh isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai
Jis ki saanson se mahakte the dar-o-baam tereAye makaan bol kahan ab woh makeen rahta hai
Ek zamana tha ke sab ek jagah rahte theAur ab koi kahin koi kahin rahta hai
Roz milne pe bhi lagta tha ke jug beet gayeIshq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai
Dil fasurda to hua dekh ke us ko lekinUmar bhar kaun jawan kaun haseen rahta hai