مل ہی جائے گا کبھی دل کو یقیں رہتا ہےوہ اسی شہر کی گلیوں میں کہیں رہتا ہے
جس کی سانسوں سے مہکتے تھے در و بام ترےاے مکاں بول کہاں اب وہ مکیں رہتا ہے
اک زمانہ تھا کہ سب ایک جگہ رہتے تھےاور اب کوئی کہیں کوئی کہیں رہتا ہے
روز ملنے پہ بھی لگتا تھا کہ جگ بیت گئےعشق میں وقت کا احساس نہیں رہتا ہے
دل فسردہ تو ہوا دیکھ کے اس کو لیکنعمر بھر کون جواں کون حسیں رہتا ہے
— احمد مشتاق
Mil hi jaayega kabhi dil ko yaqeen rehta haiWoh isi shehar ki galiyon mein kahin rehta hai
Jis ki saanson se mehakte the dar-o-baam tereAe makaan bol kahan ab woh makeen rehta hai
Ik zamana tha ke sab ek jagah rehte theAur ab koi kahin koi kahin rehta hai
Roz milne pe bhi lagta tha ke jug beet gayeIshq mein waqt ka ehsaas nahin rehta hai
Dil afsurda to hua dekh ke us ko lekinUmar bhar kaun jawan kaun haseen rehta hai