انہیں نگاہ ہے اپنے جمال ہی کی طرفنظر اٹھا کے نہیں دیکھتے کسی کی طرف
توجہ اپنی ہو کیا فن شاعری کی طرفنظر ہر ایک کی جاتی ہے عیب ہی کی طرف
لکھا ہوا ہے جو رونا مرے مقدر میںخیال تک نہیں جاتا کبھی ہنسی کی طرف
تمہارا سایہ بھی جو لوگ دیکھ لیتے ہیںوہ آنکھ اٹھا کے نہیں دیکھتے پری کی طرف
بلا میں پھنستا ہے دل مفت جان جاتی ہےخدا کسی کو نہ لے جائے اس گلی کی طرف
کبھی جو ہوتی ہے تکرار غیر سے ہم سےتو دل سے ہوتے ہو در پردہ تم اسی کی طرف
نگاہ پڑتی ہے ان پر تمام محفل کیوہ آنکھ اٹھا کے نہیں دیکھتے کسی کی طرف
نگاہ اس بت خود بیں کی ہے مرے دل پرنہ آئنہ کی طرف ہے نہ آرسی کی طرف
قبول کیجیئے للہ تحفۂ دل کونظر نہ کیجیئے اس کی شکستگی کی طرف
یہی نظر ہے جو اب قاتل زمانہ ہوئییہی نظر ہے کہ اٹھتی نہ تھی کسی کی طرف
غریب خانہ میں للٰلہ دو گھڑی بیٹھوبہت دنوں میں تم آئے ہو اس گلی کی طرف
ذرا سی دیر ہی ہو جائے گی تو کیا ہوگاگھڑی گھڑی نہ اٹھاؤ نظر گھڑی کی طرف
جو گھر میں پوچھے کوئی خوف کیا ہے کہہ دیناچلے گئے تھے ٹہلتے ہوئے کسی کی طرف
ہزار جلوۂ حسن بتاں ہو اے اکبرؔتم اپنا دھیان لگائے رہو اسی کی طرف
— اکبر اللہ آبادی
Unheñ nigāh hai apne jamāl hī kī tarafNazar uṭhā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf
Tawajjuh apnī ho kyā fan-e-shā'irī kī tarafNazar har ek kī jātī hai aib hī kī taraf
Likhā huā hai jo ronā mere muqaddar meñKhayāl tak nahīñ jātā kabhī hañsī kī taraf
Tumhārā sāyah bhī jo log dekh lete haiñWoh āñkh uṭhā ke nahīñ dekhte parī kī taraf
Balā meñ phañstā hai dil muft jān jātī haiKhudā kisī ko na le jāye us galī kī taraf
Kabhī jo hotī hai takrār ghair se ham seTo dil se hote ho dar-pardah tum usī kī taraf
Nigāh paṛtī hai un par tamām mehfil kīWoh āñkh uṭhā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf
Nigāh us but-e-khud-bīñ kī hai mere dil parNa ā'īnah kī taraf hai na ārsī kī taraf
Qabool kīji'e lillah tuhfa-e-dil koNazar na kīji'e us kī shikastagī kī taraf
Yehī nazar hai jo ab qātil-e-zamānah huīYehī nazar hai ke uṭhtī na thī kisī kī taraf
Ghareeb khānah meñ lillah do ghaṛī baiṭhoBahut dinoñ meñ tum āye ho us galī kī taraf
Zarā sī der hī ho jā'egī to kyā hogāGhaṛī ghaṛī na uṭhāo nazar ghaṛī kī taraf
Jo ghar meñ pūchhe koī khauf kyā hai keh denāChale ga'e the ṭahalte hue kisī kī taraf
Hazār jalwah-e-husn-e-butāñ ho ae AkbarTum apnā dhyān lagāye raho usī kī taraf