آنکھوں میں اشک بھر کے مجھ سے نظر ملا کےنیچی نگاہ اٹھی فتنے نئے جگا کے
میں راگ چھیڑتا ہوں ایمائے حسن پا کےدیکھو تو میری جانب اک بار مسکرا کے
دنیائے مصلحت کے یہ بند کیا تھمیں گےبڑھ جائے گا زمانہ طوفاں نئے اٹھا کے
جب چھیڑتی ہیں ان کو گمنام آرزوئیںوہ مجھ کو دیکھتے ہیں میری نظر بچا کے
دیدار کی تمنا کل رات رکھ رہی تھیخوابوں کی رہگزر میں شمعیں جلا جلا کے
دوری نے لاکھ جلوے تخلیق کر لیے تھےپھر دور ہو گئے ہم تیرے قریب آ کے
شام فراق ایسا محسوس ہو رہا ہےہر ایک شے گنوا دی ہر ایک شے کو پا کے
آئی ہے یاد جن کی طوفان درد بن کےوہ زخم میں نے اکثر کھائے ہیں مسکرا کے
میری نگاہ غم میں شکوے ہی سب نہیں ہیںاک بار ادھر تو دیکھو نیچی نظر اٹھا کے
یہ دشمنی ہے ساقی یا دوستی ہے ساقیاوروں کو جام دینا مجھ کو دکھا دکھا کے
دل کے قریب شاید طوفان اٹھ رہے ہوںدیکھو تو شعر زیدیؔ اک روز گنگنا کے
— علی جواد زیدی
Aankhon mein ashk bhar ke mujh se nazar mila keNeechi nigaah uthi fitne naye jaga ke
Main raag chhedta hoon eemaa-e-husn paa keDekho to meri jaanib ik baar muskura ke
Duniya-e-maslahat ke yeh band kya thamein geBadh jaaye ga zamaana toofan naye utha ke
Jab chhedti hain un ko gumnaam aarzooeinWoh mujh ko dekh te hain meri nazar bacha ke
Deedaar ki tamanna kal raat rakh rahi thiKhwaabon ki rahguzar mein shama'ein jala jala ke
Doori ne laakh jalwe takhleeq kar liye thePhir door ho gaye hum tere qareeb aa ke
Shaam-e-firaaq aisa mahsoos ho raha haiHar ek shay ginwa di har ek shay ko paa ke
Aayi hai yaad jin ki toofan-e-dard ban keWoh zakhm main ne aksar khaaye hain muskura ke
Meri nigaah-e-gham mein shikwe hi sab nahin hainIk baar idhar to dekho neechi nazar utha ke
Yeh dushmani hai saaqi ya dosti hai saaqiAuron ko jaam dena mujh ko dikha dikha ke
Dil ke qareeb shayad toofan uth rahe ho'nDekho to sher Zaidi ik roz gungana ke