کم ظرف احتیاط کی منزل سے آئے ہیںہم زندگی کے جادۂ مشکل سے آئے ہیں
گرداب محو رقص ہے طوفان محو جوشکچھ لوگ شوق موج میں ساحل سے آئے ہیں
یہ وضع ضبط شوق کہ دل جل بجھا مگرشکوے زباں پہ آج بھی مشکل سے آئے ہیں
آنکھوں کا سوز دل کی کسک تو نئیں ملیمانا کہ آپ بھی اسی محفل سے آئے ہیں
یہ قشقۂ خلوص ہے زخم جبیں نہیںہر چند ہم بھی کوچۂ قاتل سے آئے ہیں
دل کا لہو نگاہ سے ٹپکا ہے بارہاہم راہ غم میں ایسی بھی منزل سے آئے ہیں
دل اک اداس صبح نظر اک اداس شامکیسے کہیں کہ دوست کی محفل سے آئے ہیں
چھیڑا تھا نوک خار نے لیکن گماں ہواتازہ پیام پردۂ محمل سے آئے ہیں
ہاں گائے جا مغنی بزم طرب کہ آجنغمے تری زباں پہ مرے دل سے آئے ہیں
— علی جواد زیدی
Kam-zarf ihtiyaat ki manzil se aaye hainHum zindagi ke jaada-e-mushkil se aaye hain
Girdab mahv-e-raqs hai toofan mahv-e-joshKuchh log shauq-e-mauj mein saahil se aaye hain
Yeh waz'a-e-zabte-shauq ke dil jal bujha magarShikwe zabaan pe aaj bhi mushkil se aaye hain
Aankhon ka soz dil ki kasak to na-in miliMaana ke aap bhi isi mehfil se aaye hain
Yeh qashqa-e-khuloos hai zakhm-e-jabeen nahinHar chand hum bhi koocha-e-qaatil se aaye hain
Dil ka lahoo nigaah se tapka hai baarhaHum raah-e-gham mein aisi bhi manzil se aaye hain
Dil ik udaas subah nazar ik udaas shaamKaise kahein ke dost ki mehfil se aaye hain
Chhedha tha nok-e-khaar ne lekin gumaan huaTaaza payaam parda-e-mahmil se aaye hain
Haan gaaye ja mughanni-e-bazm-e-tarab ke aajNaghme teri zabaan pe mere dil se aaye hain