منزل دل ملی کہاں ختم سفر کے بعد بھیرہ گزر ایک اور تھی راہ گزر کے بعد بھی
آج ترے سوال پر پھر مرے لب خموش ہیںایسی ہی کشمکش تھی کچھ پہلی نظر کے بعد بھی
دل میں تھے لاکھ وسوسے جلوۂ آفتاب تکرہ گئی تھی جو تیرگی نور سحر کے بعد بھی
ناصح مصلحت نواز تجھ کو بتاؤں کیا یہ رازحوصلۂ نگاہ ہے خون جگر کے بعد بھی
ہار کے بھی نہیں مٹی دل سے خلش حیات کیکتنے نظام مٹ گئے جشن ظفر کے بعد بھی
کوئی مرا ہی آشیاں حاصل فصل گل نہ تھاہاں یہ بہار ہے بہار رقص شرر کے بعد بھی
ایک تمہاری یاد نے لاکھ دیے جلائے ہیںآمد شب کے قبل بھی ختم سحر کے بعد بھی
— علی جواد زیدی
Manzil-e-dil mili kahan khatm-e-safar ke baad bhiRah-guzar ek aur thi rah-guzar ke baad bhi
Aaj tere sawaal par phir mere lab khamosh hainAisi hi kashmakash thi kuchh pehli nazar ke baad bhi
Dil mein the laakh waswase jalwa-e-aaftab takReh gayi thi jo teergi noor-e-sahar ke baad bhi
Naaseh-e-maslahat-nawaaz tujh ko bataun kya yeh raazHausla-e-nigah hai khoon-e-jigar ke baad bhi
Haar ke bhi nahin miti dil se khalish hayat kiKitne nizam mit gaye jashn-e-zafar ke baad bhi
Koi mera hi aashiyan hasil-e-fasl-e-gul na thaHaan yeh bahar hai bahar raqs-e-sharar ke baad bhi
Ek tumhari yaad ne laakh diyay jalaye hainAamad-e-shab ke qabl bhi khatm-e-sahar ke baad bhi