چلوں کب تک کہ گھر نہیں آتامجھ کو رکنا مگر نہیں آتا
تیرا پیغامبر جنوں میرااب وہ پیغامبر نہیں آتا
مجھ میں ہر سمت ہے غبار ترادور تک کچھ نظر نہیں آتا
بات ہوتی ہے ایک لمحہ کیچین کیوں عمر بھر نہیں آتا
وہی دیوار اور سر میراہاں وہی جس میں در نہیں آتا
آ گیا ہے قرار ہی شایدمر نہ جاتے اگر نہیں آتا
— امیر امام
Chaloon kab tak ke ghar nahin aataMujh ko rukna magar nahin aata
Tera paighambar junoon meraAb woh paighambar nahin aata
Mujh mein har simt hai ghubaar teraDoor tak kuch nazar nahin aata
Baat hoti hai ek lamhe kiChain kyoon umar bhar nahin aata
Wohi deewar aur sar meraHaan wohi jis mein dar nahin aata
Aa gaya hai qaraar hi shayadMar na jaate agar nahin aata