ہر آہ سرد عشق ہے ہر واہ عشق ہےہوتی ہے جو بھی جرات نگاہ عشق ہے
دربان بن کے سر کو جھکائے کھڑی ہے عقلدربار دل کہ جس کا شہنشاہ عشق ہے
سن اے غرور حسن ترا تذکرہ ہے کیااسرار کائنات سے آگاہ عشق ہے
جبار بھی رحیم بھی قہار بھی وہیسارے اسی کے نام ہیں اللہ عشق ہے
محنت کا پھل ہے صدقہ و خیرات کیوں کہیںجینے کی ہم جو پاتے ہیں تنخواہ عشق ہے
چہرہ فقط پڑاؤ ہیں منزل نہیں تریاے کاروان عشق تری راہ عشق ہے
ایسے ہیں ہم تو کوئی ہماری خطا نہیںللہ عشق ہے ہمیں واللہ عشق ہے
ہوں وہ امیر امام کہ فرہاد و قیس ہوںآؤ کہ ہر شہید کی درگاہ عشق ہے
— امیر امام
Har aah-e-sard ishq hai har waah ishq haiHoti hai jo bhi jurrat-e-nigah ishq hai
Darbaan ban ke sar ko jhukaye khadi hai aqlDarbar-e-dil ki jis ka shahenshah ishq hai
Sun aye ghuroor-e-husn tera tazkira hai kyaAsrar-e-kainat se aagah ishq hai
Jabbar bhi Raheem bhi Qahhar bhi wahiSaare usi ke naam hain Allah ishq hai
Mehnat ka phal hai sadqa-o-khairaat kyun kaheinJeene ki hum jo paate hain tankhwah ishq hai
Chehra faqat padav hain manzil nahin teriAye kaarwan-e-ishq teri raah ishq hai
Aise hain hum to koi hamari khata nahinLillah ishq hai hamein wallah ishq hai
Hoon wo Ameer Imam ki Farhad-o-Qais hoonAao ki har shaheed ki dargah ishq hai