ستم یہی ہے کہ اب یہ ستم نہیں ہوتاوہ عکس چاندنی راتوں میں ضم نہیں ہوتا
عجب نہیں کہ کوئی خواب پھر نکل آئےمگر یہ آنکھ کا گوشہ کہ نم نہیں ہوتا
بڑھے جو عمر تو یہ رنج بڑھتا جاتا ہےسوائے عمر کے کچھ بھی تو کم نہیں ہوتا
ہزار شکر خدائے فلک نشیں تیرایہ سر زمیں کے خداؤں سے خم نہیں ہوتا
تمہاری یاد تمہاری قسم نہیں آتیتمہارا ذکر تمہاری قسم نہیں ہوتا
ترا بیان حد شاعری سے باہر ہےامیر امامؔ تلک سے رقم نہیں ہوتا
— امیر امام
Sitam yahī hai ke ab yeh sitam nahīñ hotaWoh aks chandni raatoñ mein zam nahīñ hota
Ajab nahīñ ke koī khwab phir nikal aayeMagar yeh aankh ka gosha ke nam nahīñ hota
Baṛhe jo umr to yeh ranj baṛhta jata haiSivaye umr ke kuchh bhi to kam nahīñ hota
Hazaar shukr khudā-e-falak-nashīn teraYeh sar zamīn ke khudāoñ se kham nahīñ hota
Tumhari yaad tumhari qasam nahīñ aatiTumhara zikr tumhari qasam nahīñ hota
Tera bayan had-e-shayari se bahar haiAmeer Imam tak se raqam nahīñ hota