طاق ابرو ہیں پسند طبع اک دل خواہ کےعمر ہوتی ہے بسر گنبد میں بسم اللہ کے
جاؤں کیوں کر بن بلائے اس بت دل خواہ کےبے طلب کوئی نہیں پہونچا حضور اللہ کے
روئے نورانی کا تیرے ہو گیا ہے شک جو یاررات بھر دوڑا ہوں کیا کیا پیچھے پیچھے ماہ کے
شام وصل آئی ادھر موجود تھی صبح فراقکم گھڑی سے بھی پہر ہیں اس شب کوتاہ کے
داغ عشق حسن کا لقمہ نوالہ ہے کڑاسیر دل ہیں کھانے والے اس غم جاں کاہ کے
ناتوانی سے ہے حالت غیر ہجر یار میںدم نکل جاتا ہے اپنا ساتھ ہر اک آہ کے
عشق بت میں کوہ پر جا جا کے سر پٹکا کئےپاؤں کو صدمے رہے پست و بلند راہ کے
سالہا عشق زنخداں نے لہو پانی کیامدتوں روئے ہیں جا جا کر کنارے چاہ کے
حشر تک یوں ہی رہیں گے غمزہ و انداز و نازعشق عالی منزلت سے حسن والا جاہ کے
جا نکلتا ہے جو مجھ سا تشنۂ دیدار حسنذکر یوسف کرنے لگتے ہیں کبوتر چاہ کے
منزل مقصود میں چل کر نکالوں گا انہیںآبلوں میں یہ جو ہیں پیوست کانٹے راہ کے
اس بت بے دیں کی زلفوں کا اشارہ ہے یہیاس بلا میں وہ پھنسیں عاشق ہوں جو اللہ کے
کب سمائی ہے نظر میں روشنیٔ آفتابچشم بینا رکھتے ہیں ذرے تری درگاہ کے
— حیدر علی آتش
Tāq-e-abrū haiñ pasand-e-tab-e-ik dil-ḳhvāh keUmar hotī hai basar gumbad meñ Bismillāh ke
Jā.ūñ kyuuñ kar bin bulā.e us but-e-dil-ḳhvāh keBe-talab koī nahīñ pahuñchā huzūr-e-Allāh ke
Rū-e-nūrānī kā tere ho gayā hai shak jo yārRāt bhar dauṛā huuñ kyā kyā pīchhe pīchhe māh ke
Shām-e-vasl aa.ī idhar maujūd thī subh-e-firāqKam ghaṛī se bhī pahar haiñ is shab-e-kotāh ke
Dāgh-e-ishq-e-husn kā luqma nivāla hai kaṛāSair dil haiñ khāne vaale is gham-e-jāñ-kāh ke
Nā-tavānī se hai hālat ghair hijr-e-yār meñDam nikal jaatā hai apnā sāth har ik aah ke
Ishq-e-but meñ koh par jā jā ke sar paṭkā kiyePā.oñ ko sadme rahe past-o-buland rāh ke
Sālhā ishq-e-zanaḳhdāñ ne lahū paanī kiyāMuddatōñ ro.e haiñ jā jā kar kināre chāh ke
Hashr tak yuuñ hī raheñge ghamza o andāz o nāzIshq-e-ālī manzilātī se husn-e-vālā-jāh ke
Jā nikaltā hai jo mujh sā tishna-e-dīdār-e-husnZikr-e-Yusuf karne lagte haiñ kabūtar chāh ke
Manzil-e-maqṣūd meñ chal kar nikālūñ gā unheñAablōñ meñ ye jo haiñ paiwast kāñṭe rāh ke
Us but-e-be-dīñ kī zulfoñ kā ishāra hai yahīIs balā meñ vo phañseñ āshiq hoñ jo Allāh ke
Kab samā.ī hai nazar meñ raushnī-e-āftābChashm-e-bīnā rakhte haiñ zarre tirī dargāh ke