تیری جو یاد اے دل خواہ بھولاباللہ بھولا واللہ بھولا
فرقت کی شب میں جاں سوز دل نےاف اف کیا جو آہ آہ بھولا
کج رکھ نہ پا کو جا دل سے غافلپھیر اس نے کھایا جو راہ بھولا
زنار ڈالا تسبیح پھیکیعشق صنم میں اللہ بھولا
خور نے گرایا اس کو نظر سےجو ذرہ تیری درگاہ بھولا
زلف رسا کو سمجھا جو افعیچوکا وہ قصر کوتاہ بھولا
دیکھے سے تیرا روئے منورہم مہر بھولا ہم ماہ بھولا
محروم رکھا ساقی نے ہم کواپنے گدا کو جم جاہ بھولا
بت خانہ چھوڑا باز آئے بت سےوہ شہر بھولا وہ شاہ بھولا
شرط وفا کی کس بے وفا سےآتشؔ سا عارف آگاہ بھولا
— حیدر علی آتش
Terī jo yaad ai dil ḳhvāh bhūlāBillāh bhūlā wallāh bhūlā
Furqat kī shab meñ jaañ-soz dil neUff uff kiyā jo āh āh bhūlā
Kaj rakh na pā ko jā dil se ghāfilPhir us ne khāyā jo rāh bhūlā
Zunnār ḍālā tasbīh pheñkīIshq-e-sanam meñ allāh bhūlā
Khūr ne girāyā us ko nazar seJo zarra terī dargāh bhūlā
Zulf-e-rasā ko samjhā jo af'īChaukā vo qasr-e-kotāh bhūlā
Dekhe se terā rū-e-munawwarHam mehr bhūlā ham māh bhūlā
Mahroom rakhā sāqī ne ham koApne gadā ko Jam jāh bhūlā
But-ḳhāna chhoṛā baaz aa.e but seVo shahr bhūlā vo shāh bhūlā
Shart-e-wafā kī kis be-wafā seAatish sā aarif āgāh bhūlā