اک لفظ محبت کا ادنیٰ یہ فسانا ہےسمٹے تو دل عاشق پھیلے تو زمانا ہے
یہ کس کا تصور ہے یہ کس کا فسانا ہےجو اشک ہے آنکھوں میں تسبیح کا دانا ہے
دل سنگ ملامت کا ہر چند نشانا ہےدل پھر بھی مرا دل ہے دل ہی تو زمانا ہے
ہم عشق کے ماروں کا اتنا ہی فسانا ہےرونے کو نہیں کوئی ہنسنے کو زمانا ہے
وہ اور وفا دشمن مانیں گے نہ مانا ہےسب دل کی شرارت ہے آنکھوں کا بہانا ہے
شاعر ہوں میں شاعر ہوں میرا ہی زمانا ہےفطرت مرا آئینا قدرت مرا شانا ہے
جو ان پہ گزرتی ہے کس نے اسے جانا ہےاپنی ہی مصیبت ہے اپنا ہی فسانا ہے
کیا حسن نے سمجھا ہے کیا عشق نے جانا ہےہم خاک نشینوں کی ٹھوکر میں زمانا ہے
آغاز محبت ہے آنا ہے نہ جانا ہےاشکوں کی حکومت ہے آہوں کا زمانا ہے
آنکھوں میں نمی سی ہے چپ چپ سے وہ بیٹھے ہیںنازک سی نگاہوں میں نازک سا فسانا ہے
ہم درد بہ دل نالاں وہ دست بہ دل حیراںاے عشق تو کیا ظالم تیرا ہی زمانا ہے
یا وہ تھے خفا ہم سے یا ہم ہیں خفا ان سےکل ان کا زمانہ تھا آج اپنا زمانا ہے
اے عشق جنوں پیشہ ہاں عشق جنوں پیشہآج ایک ستم گر کو ہنس ہنس کے رلانا ہے
تھوڑی سی اجازت بھی اے بزم گہ ہستیآ نکلے ہیں دم بھر کو رونا ہے رلانا ہے
یہ عشق نہیں آساں اتنا ہی سمجھ لیجےاک آگ کا دریا ہے اور ڈوب کے جانا ہے
خود حسن و شباب ان کا کیا کم ہے رقیب اپناجب دیکھیے اب وہ ہیں آئینہ ہے شانا ہے
تصویر کے دو رخ ہیں جاں اور غم جاناںاک نقش چھپانا ہے اک نقش دکھانا ہے
یہ حسن و جمال ان کا یہ عشق و شباب اپناجینے کی تمنا ہے مرنے کا زمانا ہے
مجھ کو اسی دھن میں ہے ہر لحظہ بسر کرنااب آئے وہ اب آئے لازم انہیں آنا ہے
خودداری و محرومی محرومی و خودداریاب دل کو خدا رکھے اب دل کا زمانا ہے
اشکوں کے تبسم میں آہوں کے ترنم میںمعصوم محبت کا معصوم فسانا ہے
آنسو تو بہت سے ہیں آنکھوں میں جگرؔ لیکنبندھ جائے سو موتی ہے رہ جائے سو دانا ہے
— جگر مراد آبادی
Ik lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasāna haiSimTe to dil-e-āshiq phailī to zamāna hai
Ye kis kā tasavvur hai ye kis kā fasāna haiJo ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh kā dāna hai
Dil sang-e-malāmat kā har chand nishāna haiDil phir bhī mirā dil hai dil hī to zamāna hai
Ham ishq ke māroñ kā itnā hī fasāna haiRoñe ko nahīñ koī hañsne ko zamāna hai
Vo aur wafā dushman māneñge na maanā haiSab dil kī sharārat hai āñkhoñ kā bahāna hai
Shā'ir hūñ maiñ shā'ir hūñ merā hī zamāna haiFitrat mirā ā.īna qudrat mirā shāna hai
Jo un pe guzartī hai kis ne use jaanā haiApnī hī musībat hai apnā hī fasāna hai
Kyā husn ne samjhā hai kyā ishq ne jaanā haiHam ḳhāk-nashīnoñ kī Thokar meñ zamāna hai
Āġhāz-e-mohabbat hai aanā hai na jaanā haiAshkoñ kī hukūmat hai āhoñ kā zamāna hai
Āñkhoñ meñ namī sī hai chup chup se vo baiThe haiñNāzuk sī nigāhoñ meñ nāzuk sā fasāna hai
Ham dard ba-dil nālāñ vo dast ba-dil hairāñAi ishq tū kyā zālim terā hī zamāna hai
Yā vo the ḳhafā ham se yā ham haiñ ḳhafā un seKal un kā zamāna thā aaj apnā zamāna hai
Ai ishq-e-junūñ-pesha hāñ ishq-e-junūñ-peshaAaj ek sitamgar ko hañs hañs ke rulānā hai
ThoḌī sī ijāzat bhī ai bazm-gāh-e-hastīAa nikle haiñ dam bhar ko ronā hai rulānā hai
Ye ishq nahīñ āsāñ itnā hī samajh lījeIk aag kā dariyā hai aur Ḍūb ke jaanā hai
Khud husn o shabāb un kā kyā kam hai raqīb apnāJab dekhiye ab vo haiñ ā.īna hai shāna hai
Tasvīr ke do ruḳh haiñ jāñ aur ġham-e-jānāñIk naqsh chhupānā hai ik naqsh dikhānā hai
Ye husn o jamāl un kā ye ishq o shabāb apnāJiine kī tamannā hai marne kā zamāna hai
Mujh ko isī dhun meñ hai har lahza basar karnāAb aa.e vo ab aa.e lāzim unheñ aanā hai
Khud-dārī o mahrūmī mahrūmī o ḳhud-dārīAb dil ko ḳhudā rakhe ab dil kā zamāna hai
Ashkoñ ke tabassum meñ āhoñ ke tarannum meñMasūm mohabbat kā masūm fasāna hai
Āñsū to bahut se haiñ āñkhoñ meñ jigar lekinBandh jaa.e so motī hai rah jaa.e so dāna hai