عشق لا محدود جب تک رہنما ہوتا نہیںزندگی سے زندگی کا حق ادا ہوتا نہیں
بے کراں ہوتا نہیں بے انتہا ہوتا نہیںقطرہ جب تک بڑھ کے قلزم آشنا ہوتا نہیں
اس سے بڑھ کر دوست کوئی دوسرا ہوتا نہیںسب جدا ہو جائیں لیکن غم جدا ہوتا نہیں
زندگی اک حادثہ ہے اور کیسا حادثہموت سے بھی ختم جس کا سلسلہ ہوتا نہیں
کون یہ ناصح کو سمجھائے بہ طرز دل نشیںعشق صادق ہو تو غم بھی بے مزا ہوتا نہیں
درد سے معمور ہوتی جا رہی ہے کائناتاک دل انساں مگر درد آشنا ہوتا نہیں
میرے عرض غم پہ وہ کہنا کسی کا ہائے ہائےشکوۂ غم شیوۂ اہل وفا ہوتا نہیں
اس مقام قرب تک اب عشق پہنچا ہی جہاںدیدہ و دل کا بھی اکثر واسطا ہوتا نہیں
ہر قدم کے ساتھ منزل لیکن اس کا کیا علاجعشق ہی کم بخت منزل آشنا ہوتا نہیں
اللہ اللہ یہ کمال اور ارتباط حسن و عشقفاصلے ہوں لاکھ دل سے دل جدا ہوتا نہیں
کیا قیامت ہے کہ اس دور ترقی میں جگرؔآدمی سے آدمی کا حق ادا ہوتا نہیں
— جگر مراد آبادی
Ishq lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñZindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
Be-karāñ hotā nahīñ be-intihā hotā nahīñQatra jab tak baḌh ke qulzum-āshnā hotā nahīñ
Is se baḌh kar dost koī dūsrā hotā nahīñSab judā ho jā.eñ lekin ġham judā hotā nahīñ
Zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsaMaut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
Kaun ye nāseh ko samjhā.e ba-tarz-e-dil-nashīñIshq sādiq ho to ġham bhī be-mazā hotā nahīñ
Dard se ma'mūr hotī jā rahī hai kā.inātIk dil-e-insāñ magar dard-āshnā hotā nahīñ
Mere arz-e-ġham pe vo kahnā kisī kā hā.e hā.eShikva-e-ġham shaiwa-e-ahl-e-wafā hotā nahīñ
Is maqām-e-qurb tak ab ishq pahuñchā hī jahāñDīda o dil kā bhī aksar wāsta hotā nahīñ
Har qadam ke sāth manzil lekin is kā kyā ilājIshq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ
Allāh Allāh ye kamāl aur irtibāt-e-husn o ishqFāsle hoñ lākh dil se dil judā hotā nahīñ
Kyā qayāmat hai ki is daur-e-taraqqī meñ jigarĀdamī se ādamī kā haq adā hotā nahīñ