انسان میں حیوان یہاں بھی ہے وہاں بھیاللہ نگہبان یہاں بھی ہے وہاں بھی
خوں خوار درندوں کے فقط نام الگ ہیںہر شہر بیابان یہاں بھی ہے وہاں بھی
ہندو بھی سکوں سے ہے مسلماں بھی سکوں سےانسان پریشان یہاں بھی ہے وہاں بھی
رحمان کی رحمت ہو کہ بھگوان کی مورتہر کھیل کا میدان یہاں بھی ہے وہاں بھی
اٹھتا ہے دل و جاں سے دھواں دونوں طرف ہییہ میرؔ کا دیوان یہاں بھی ہے وہاں بھی
— ندا فاضلی
Insaan mein haiwaan yahan bhi hai wahan bhiAllah nigehbaan yahan bhi hai wahan bhi
Khoon khwar darindon ke faqat naam alag hainHar shehar bayabaan yahan bhi hai wahan bhi
Hindu bhi sukoon se hai Musalman bhi sukoon seInsaan pareshan yahan bhi hai wahan bhi
Rahman ki rehmat ho ke Bhagwaan ki mooratHar khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi
Uthta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hiYeh Mir' ka deewan yahan bhi hai wahan bhi