اصل حالت کا بیاں ظاہر کے سانچوں میں نہیںبات جو دل میں ہے میرے میرے لفظوں میں نہیں
اک زمانہ تھا کہ اک دنیا مرے ہم راہ تھیاور اب دیکھوں تو رستہ بھی نگاہوں میں نہیں
کوئی آسیب بلا ہے شہر پر چھایا ہوابوئے آدم زاد تک خالی مکانوں میں نہیں
رفتہ رفتہ سب ہماری راہ پر آتے گئےبات ہے جو ہم بروں میں اچھے اچھوں میں نہیں
اپنے ہی دم سے چراغاں ہے وگرنہ آفتابؔاک ستارہ بھی مری ویران شاموں میں نہیں
— آفتاب حسین
Asal haalat ka bayaan zaahir ke saanchon mein nahinBaat jo dil mein hai mere mere lafzon mein nahin
Ek zamaana tha ke ek duniya mere hamraah thiAur ab dekhoon to rasta bhi nigaahon mein nahin
Koi aaseb balaa hai shehr par chhaaya huaBu-e-aadam zaad tak khaali makaanon mein nahin
Rafta rafta sab hamari raah par aate gayeBaat hai jo hum buron mein achhe achhon mein nahin
Apne hi dam se charaaghaan hai wagarna AftaabEk sitaara bhi meri veeraan shaamon mein nahin