آنکھ سے دل میں آنے والادل سے نہیں اب جانے والا
گھر کو پھونک کے جانے والاپھر کے نہیں ہے آنے والا
دوست تو ہے نادان ہے لیکنبے سمجھے سمجھانے والا
آنسو پونچھ کے ہنس دیتا ہےآگ میں آگ لگانے والا
ہے جو کوئی تو دھیان اسی کاآنے والا جانے والا
حسن کی بستی میں ہے یاروکوئی ترس بھی کھانے والا
ڈال رہا ہے کام میں مشکلمشکل میں کام آنے والا
دی تھی تسلی یہ کس دل سےچپ نہ ہوا چلانے والا
خواب کے پردے میں آتا ہےسوتا پا کے جگانے والا
اک دن پردہ خود الٹے گاچھپ چھپ کے ترسانے والا
آرزوؔ ان کے آگے ہے چپ کیوںتم سا باتیں بنانے والا
— آرزو لکھنوی
Aankh se dil mein aane waalaDil se nahīn ab jaane waala
Ghar ko phoonk ke jaane waalaPhir ke nahīn hai aane waala
Dost to hai nādān hai lekinBe-samjhe samjhāne waala
Aansoo poonchh ke hans detā haiAag mein aag lagāne waala
Hai jo koī to dhyān usī kaAane waala jaane waala
Husn kī bastī mein hai yāroKoī taras bhi khāne waala
Daal rahā hai kaam mein mushkilMushkil mein kaam aane waala
Dī thī tasallī ye kis dil seChup na huā chalāne waala
Khwāb ke parde mein ātā haiSotā pā ke jagāne waala
Ek din pardā khud ulṭe gāChhup chhup ke tarsāne waala
Aarzoo in ke aage hai chup kyuunTum sā bāten banāne waala